Nafrat Ki Ek Hi Thoka Lyrics – Manna Dey
Jise banaya tha data ne
Dharti ka wardan re
Jise banaya tha mali ne
Sach much hi insan re
Nafrat ki ek hi thokar ne
Ye kya se kya kar dala re
Ye kya se kya kar dala re
Kya se kya kar dala
Apne hi lahu ka pyasa hai
Apne hi lahu ka pyasa hai
Nafrat ko mitane wala re
Nafrat ko mitane wala re
Kya se kya kar dala
Nafrat ki ek hi thokar ne
Fagun ki tarah jo khilta tha
Sawan ki tarah jo chalta tha
Badal se lipattakar milta tha
Barud ne aise fariste ko
Barud ne ha fariste ko
Rang dala kitna kala re
Rang dala kitna kala re
Kya se kya kar dala
Nafrat ki ek hi thokar ne
Ye apna paraya bhul gaya
Ye apna paraya bhul gaya
Bas khun ki holi yaad rahi
Ise khun ki holi yaad rahi
Dulhan ka dola bhul gaya
Dulhan ka dola bhul gaya
Bas maut ki doli yaad rahi
Ise bas maut ki doli yaad rahi
Avtaar fariste bhul gaya
Avtaar fariste bhul gaya
Nafrat ko mitane wala re
Nafrat ko mitane wala re
Kya se kya kar dala
Nafrat ki ek hi thokar ne
Insan ke yahi karte war hai to
Pyar ka akhir kya hoga
Insan pe dharti mata ke
Upkar ka akhir kya hoga
Ab kaun hai malik tere siwa
Ab kaun hai malik tere siwa
Is dunia ka rakhwala re
Is dunia ka rakhwala re
Dunia ka rakhwala re
Nafrat ki ek hi thokar ne
Ye kya se kya kar dala re
Kya se kya kar dala re
Kya se kya kar dala
Nafrat ki ek hi thokar ne.