Nadiya Behti Hai Tumse Kehti Hai Lyrics – Lata Mangeshkar
Nadiya behti hai tumse kehti hai
Sagar se mujhko milna nahi hai
Sagar se milke main khari ho jaaungi
Nadiya behti hai tumse kehti hai
Nadiya behti hai tumse kehti hai
Sagar se mujhko milna nahi hai
Sagar se milke main khari ho jaaungi
Baandh lo mujhe rok lo mujhe
Baandh lo mujhe rok lo mujhe
Rok lo mujhe main tumhari ho jaaungi
Nadiya behti hai tumse kehti hai
Nadiya behti hai tumse kehti hai
Naav to kya gaon beh jaate hai
Meri chaal mein aisi rawani
Baandh le mujhko behak na jaaye
Chanchal chanchal jawani sa paani
Mere aanchal mein hai amrit wo
De de jo nayi zindgani
Mere aanchal mein hai amrit wo
De de jo nayi zindgani
Aangan aangan barsega kanchan
Jaan se tumko main pyaari ho jaaungi
Nadiya behti hai tumse kehti hai
Nadiya behti hai tumse kehti hai
Ret jaha khet leharayenge
Jaagegi dharti ki mamata soyi
Pyaar tumhe dungi bahar tumhe dungi
Pyasaa rahega na panghat koi
Mera naamo nisha phir hoga kaha
Main jo samndar mein khoyi
Mera naamo nisha phir hoga kaha
Main jo samndar mein khoyi
Mujhe apna lo gaon mein basa lo
Tumahri bhi sari ki sari ho jaaungi
Nadiya behti hai tumse kehti hai
Nadiya behti hai tumse kehti hai
Sagar se mujhko milna nahi hai
Sagar se milke main khari ho jaaungi
Baandh lo mujhe rok lo mujhe
Baandh lo mujhe rok lo mujhe
Rok lo mujhe main tumhari ho jaaungi
Nadiya behti hai tumse kehti hai
Nadiya behti hai tumse kehti hai.