Na Ro Aye Mere Dil Lyrics – Lata Mangeshkar
Tera nahi yeh jaha
Fursat kise hai samjhe jo koi
Tere aansuo ki zuba
Na ro aye mere dil yaha
Tera nahi yeh jaha
Fursat kise hai samjhe jo koi
Tere aansuo ki zuba
Na ro aye mere dil yaha
Deewani duniya rishte dilo ke
Daulat se kyu jodti hai
Deewani duniya rishte dilo ke
Daulat se kyu jodti hai
Samazo ke jhuthe rivazo ki
Khatir apno ke dil todti hai
Koi nahi sath dega
Sab to hai parchhaiya
Koi nahi sath dega
Sab to hai parchhaiya
Aisa agar hai jaha
To jine ke kabil kaha
Fursat kise hai samjhe jo koi
Tere aansuo ki zuba
Na ro aye mere dil yaha
Aise jahan mein rahe koi kaise
Lage pyar par jisme pehre
Aise jahan mein rahe koi kaise
Lage pyar par jisme pehre
Gila aur se kya lagaye hai
Dil par apno hi ne ghav gehre
Kho ja andhero mein aise
Jaise gagan mein dhua
Kho ja andhero mein aise
Jaise gagan mein dhua
Zarurat hai teri kise
Mita de tu apna nisha
Fursat kise hai samjhe jo koi
Tere aansuo ki zuba
Na ro aye mere dil yaha
Tera nahi yeh jaha
Fursat kise hai samjhe jo koi
Tere aansuo ki zuba
Tere aansuo ki zuba.