Na Kisi Ki Aankh Ka Lyrics

in

"Na Kisi Ki Aankh Ka" Song Details:

Movie: Shararat (2002)
Singer(s):Talat Aziz
Lyricist(s):Sameer
Composer(s):Sajid Ali, Wajid Ali
Music Director(s):Sajid Ali, Wajid Ali
Genre(s):Ghazal, Sad
Director(s):Gaurav Bhalla
Music Label:© Tips Music
Starring:Abhishek Bachchan, Hrishitaa Bhatt, Amrish Puri
Release on:12th July, 2002

Na Kisi Ki Aankh Ka Lyrics – Talat Aziz

lyricsbogie.com
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka karar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main woh ek musth-e-gubaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon

Mera rang roop bigad gaya
Mera yaar muhjse bichad gaya
Jo chaman fiza mein ujad gaya
Main usi ki faasle bahar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka karar hoon

Main kahan rahoon main khahan basu
Na yeh mujhse khush na woh mujhse khush
Main zamin ki peet ka boj hoon
Main falak ke dil ka gubaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon

Pade faatiha koyi aaye kyon
Koyi chaar phool chadaye kyon
Koyi aake shama jhalaye kyon
Koyi aake shama jhalaye kyon
Main woh be-kasi ka mazaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka karar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main woh ek musth-e-gubaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon.

Na Kisi Ki Aankh Ka Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.