Na Kajre Ki Dhar Lyrics – Pankaj Udhas, Sadhana Sargam
Na koi kiya singaar phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho
Na kajre ki dhaar, na motiyon ke haar
Na koi kiya singaar phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho
Mann mein pyaar bhara,
Aur tan mein pyaar bhara
Jeevan mein pyaar bhara
Tum to mere priyavar ho
Tumhi to mere priyavar ho
Singaar tera yovan, yovan hi tera gehna
Singaar tera yovan, yovan hi tera gehna
Tu taazgi phoolon ki, kya saadgi ka kehna
Ude khushboo jab chale tu
Ude khushboo jab chale tu
Bole to baje sitaar
Na kajre ki dhaar, na motiyon ke haar
Na koi kiya singaar phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho
Saari duniya harjaayi,
Tere pyaar mein hai sachchaai
Saari duniya harjaayi,
Tere pyaar mein hai sachchaai
Is liye chhodke duniya
Teri aur kheenchi chali aayi
Thi patthar tune chhookar
Thi patthar tune chhookar
Sona kar diya khara
Mann mein pyaar bhara,
Aur tan mein pyaar bhara
Jeevan mein pyaar bhara
Tum to mere priyavar ho
Tumhi to mere priyavar ho
Tera ang sachcha sona,
Muskaan sachche moti
Tera ang sachcha sona,
Muskaan sachche moti
Tere hont hai madhushaala,
Tu roop ki hai jyoti
Teri soorat jaise moorat
Teri soorat jaise moorat
Main dekhoon baar baar
Na kajre ki dhaar, na motiyon ke haar
Na koi kiya singaar phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho
Mann mein pyaar bhara,
Aur tan mein pyaar bhara
Jeevan mein pyaar bhara
Tum to mere priyavar ho
Tumhi to mere priyavar ho.