Na Inka Rang Asli Hain Lyrics – Ambar Kumar, Badri Prasad
Na inka rang asli hai
Na inka rup asli hai
Ye bambai hai hasino ki
Yaha har cheez nakli hai
Na inka rang asli hai
Na inka rup asli hai
Ye bambai hai hasino ki
Yaha har cheez nakli hai
Na inka rang asli hai
Na inka rup asli hai
Pahan kar bhai ki lungi
Chali hai sair ko bahna
Meri mano to tum aisi
Bala se dur hi rahna
Chipak kar rah gayi
Tango se ye patlun angreji
Chipak kar rah gayi
Tango se ye patlun angreji
Ye kapde aise pahne hai
Ke jaise kuchh nahi pahna
Ye kapde aise pahne hai
Ke jaise kuchh nahi pahna
Lage hai isko par jhuthe
Ye dhokhe baz titli hai
Ye bambai hai hasino ki
Yaha har cheez nakli hai
Na inka rang asli hai
Na inka rup asli hai
Laga ke surkhi or lali
Kiya hai lal galo ko
Banaya ghosla chidiyo ka
Apne balo ko
Na iski aankh mein jadu
Na isko chal mein masti
Na iski aankh mein jadu
Na isko chal mein masti
Bana dala hai andha
Isne sare aankh walo ko
Bana dala hai andha
Isne sare aankh walo ko
Ye bahar se hai narangi
Magar andar se imli hai
Ye bambai hai hasino ki
Yaha har cheez nakli hai
Na inka rang asli hai
Na inka rup asli hai
Ke jaise chini gudiya hai
Magar najdik se dekho to
Ye paishath ki pudiya hai
Pati bhi iska ghabrata hai
Ghar wale bhi darte hai
Pati bhi iska ghabrata hai
Ghar wale bhi darte hai
Na ud jaye kahi hatho se
Ye sone ki chidiya hai
Na ud jaye kahi hatho se
Ye sone ki chidiya hai
Ye surat se lage dewi
Magar aafat ki putli hai
Ye bambai hai hasino ki
Yaha har cheez nakli hai
Na inka rang asli hai
Na inka rup asli hai
Ye bambai hai hasino ki
Yaha har cheez nakli hai
Na inka rang asli hai
Na inka rup asli hai.