Na Chhithi Aayi Na Lyrics – Lata Mangeshkar
Na chhithi aayi na aaya bulawa
Andar se khadki hai taar
Mohe jaana hai maiya ke dwaar
Main jaaungi maata ke dwaar
Mohe jaana hai maiya ke dwaar
Main jaaungi maata ke dwaar
Na chhithi aayi na aaya bulawa
Paanv mein chaahe
Pad jaaye chhale
Kar dungi jeevan uske hawale
Darshan ki mann mein
Laagi lagan hain
Chintan mein har saans
Ab toh magan hain
Chintan mein har saans
Ab toh magan hain
Main na rukungi
Raste mein ek pal
Dhun hai yeh mujhpe sanwaar
Mohe jaana hai maiya ke dwaar
Main jaaungi maata ke dwaar
Mohe jaana hai maiya ke dwaar
Main jaaungi maata ke dwaar
Na chhithi aayi na aaya bulawa
Shradhha suman
Mein arpan karungi
Bhakti ka sachha
Dhan maang lungi
Pooja mein uski
Kho jaaungi main
Chaakar dar ki
Ho jaaungi main
Chaakar dar ki
Ho jaaungi main
Janmon ki ab
Toh pyaas bujhegi
Sapanen honge saakaar
Mohe jaana hai
Maiya ke dwaar
Main jaaungi maata ke dwaar
Mohe jaana hai maiya ke dwaar
Main jaaungi maata ke dwaar
Na chhithi aayi na aaya bulawa
Maathe lagaaun
Charno ki dhuli
Uske siva kul
Duniya hoon bhuli
Mil jaaye maan tu
Jag se kya lena
Bachhe jo maange
Maan ne hi dena
Bachhe jo maange
Maan ne hi dena
Mere bhi mann ki
Wohi sab jaane
Sunti jo sabki pukaar
Mohe jaana hai
Maiya ke dwaar
Main jaaungi maata ke dwaar
Mohe jaana hai maiya ke dwaar.