Musaafir Hai Ham Tum Lyrics

in

"Musaafir Hai Ham Tum" Song Details:

Movie: Sim Sim Marjina (1958)
Singer(s):Mohammed Rafi, Mubarak Begum, Sudha Malhotra
Lyricist(s):Asad Bhopali
Composer(s):A.R. Qureshi
Music Director(s):A.R. Qureshi
Genre(s):Playful
Director(s):Narindra Dave
Music Label:© Saregama
Starring:Mahipal, Shakeela, Maruti, Helen, Hiralal, Tiwari, Roopmala

Musaafir Hai Ham Tum Lyrics – Mohammed Rafi, Mubarak Begum, Sudha Malhotra

lyricsbogie.com
Musaafir hai ham tum ye duniya sarai
Idhar koi aaye udhar koi jaaye
Ye jalave ye nagame ye mehfil suhaani
Ye husn aur mohabbat ki ragi kahani
Yaha ki har ek chiz hai aani jaani
Wo nadan hai inase jo dil lagaaye
Musaafir hai ham tum
Har ek chiz me hai nayi zindagani
Wo nadan hai jo yaha tak na aaye
Musaafir hai ham tum

Zamana hua hai na hoga kisi ka
Tamasha hai sara ghadi do ghadi ka
Bharosa na karna kabhi zindagi ka
Naa maalum kab saans aaye na aaye
Musaafir hai ham tum

Ye duniya hai do ghadi ka tamasha
Na karna yaha zindagi ka bharosa
Naa baaki rahe koi dil ki tamanna
Adhuri kahi daastaa rah na jaaye
Musaafir hai ham tum.

Musaafir Hai Ham Tum Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.