Mujhko To Qatil Ki Lyrics

in

“Lyrics of Mujhko To Qatil Ki” , is a Hindi song from the film Uljhan, directed by Raghunath Jhalani and stars Ashok Kumar, Sanjeev Kumar, Sulakshana Pandit, Ranjeet. Music composed by Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah, the song is sung by Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Sudesh Kumar, with lyrics penned by M. G. Hashmat.

"Mujhko To Qatil Ki" Song Details:

Movie: Uljhan
Singer(s):Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Sudesh Kumar
Lyricist(s):M. G. Hashmat
Composer(s):Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Music Director(s):Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Genre(s):Romantic
Director(s):Raghunath Jhalani
Music Label:© Saregama
Starring:Ashok Kumar, Sanjeev Kumar, Sulakshana Pandit, Ranjeet
Release on:31st October, 1975

Mujhko To Qatil Ki Lyrics – Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Sudesh Kumar

Mujhko to qatil ki itni pehchan hai
Bhola bhala chehra hai dil beiman hai
Bhola bhala chehra hai dil beiman hai

Mujhko to qatil ki itni pehchan hai
Bhola bhala chehra hai dil beiman hai
Najre jhuka ke bane kaise anjan hai
Bhola bhala chehra hai dil beiman hai
Bhola bhala chehra hai dil beiman hai

lyricsbogie.com
Aise mehfil se uth ke na jao
Aise mehfil se uth ke na jao
Pas baitho jara muskurao
Aaj khushiyo ki mehfil saji hai
Kal hua jo use bhul jao
Are bhai kal ki kya bat hai
Husn ki bat hai ye
Ishq ka raz hai ye
Julf thi mehki mehki
Har najar behki behki

Bahut bezar tha dil
Shola tha aag tha dil
Koi agosh me tha magar betab tha dil
Fiza khamoshiyo ki dawa behoshiyo ki
Kiye jati thi pagal laga tha dil se qatil
Laga tha dil se qatil

Chehre se parda hatake rahunga
Chehre se parda hatake rahunga
Hua katal kaise bata ke rahunga
Bata ke rahunga
Jan lene wale ki muskil me jan hai
Bhola bhala chehra hai dil beiman hai
Bhola bhala chehra hai dil beiman hai

Aise ilzam yu na lagao
Aise ilzam yu na lagao
Bhed khul jayega baz aao
Aaj khushyio ki mehfil saji hai
Kal hua jo use bhul jao
Wo ghadi yad karo chup ke milte the kabhi
Aankh ka milna tauba na kabhi aankh lage
Dino se lambi rate wo khud se khud ki bate
Wo kya majburiya thi wo kesi duriya thi
Dilo ja hare hare firte the mare mare

Kahi dum ghut na jaye tamnna lut na jaye ha
Tamnna lut na jaye
Isiliye hamne sahara diya tha
Kashti dil ko kinara diya tha
Isiliye husn ko itna gurur hai
Isiliye husn ko itna gurur hai
Andhi jawani ka aanhko me surur hai
Aanhko me surur hai

Dekho kaise ban than ke baithe janab hai
Ek nahi inko to sat khun maf hai
Ek nahi inko to sat khun maf hai
Kaji or kano main inpe meharban hai
Bhola bhala chehra hai dil beiman hai
Bhola bhala chehra hai dil beiman hai.

Mujhko To Qatil Ki Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.