Mohammad Shah Rangeeley Re Lyrics

in

"Mohammad Shah Rangeeley Re" Song Details:

Movie: Nadir Shah (1968)
Singer(s):Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Lyricist(s):Majrooh Sultanpuri
Composer(s):S. N. Tripathi
Music Director(s):S. N. Tripathi
Genre(s):Dance
Director(s):S.N. Tripathi
Music Label:© Saregama
Starring:Feroz Khan, Kumari Naaz, Sheikh Mukhta

Mohammad Shah Rangeeley Re Lyrics – Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi

Mohammad shah rangeele re
Mohammad shah rangeele re
Sajna tum bin main ka
Ab din ratiyaan
Kachhu na suhaawe
Mohammad shah rangeele re
Mohammad shah rangeele re
Sajna tum bin main ka
Ab din ratiyaan
Kachhu na suhaawe
Mohammad shah rangeele

Agar nikal ke teri
Bazm se kahin chaliye
Agar nikal ke teri
Bazm se kahin chaliye
To baar baar ye kehta hai dil
Wahin chaliye, ho o o o o
Isi liye to ye mehfil
Sajaaye baithhe hain
Isi liye to ye mehfil
Sajaaye baithhe hain
Ke ham charaag nahin
Dil jalaaye baithhe hain

Aaa aaa aaa aaa
Mohammad shah rangeele re
Sajna tum bin main ka
Ab din ratiyaan
Kachhu na suhaawe
Mohammad shah rangeele

Ye baat kyaa hai ki dil
Jab se teri chaah mein hai
Ye baat kyaa hai ki dil
Jab se teri chaah mein hai
Kahin wo rang nahin
Jo teri niagaah mein hai
Meri nazar mein nahin
Qatl o khoon ke afsaane
Meri nazar mein nahin
Qatl o khoon ke afsaane
Chhalak rate hain yahaan
Rang o boo ke paimaane

lyricsbogie.com
Aaa aaa aaa
Mohammad shah
Rangeele re sajna
Tum bin main ka
Ab din ratiyaan
Kachhu na suhaawe
Mohammad shah rangeele

Idhar na dekhoge kab tak
Sajan kaho to sahee
Idhar na dekhoge kab tak
Sajan kaho to sahee
Lagi huyi hai ye kiski
Lagan kaho to sahee
Main dhoondhta hoon
Wo ek geet zindagi ke liye
Main dhoondhta hoon
Wo ek geet zindagi ke liye
Ke zindagi bane sangeet
Aadmi ke liye

Aaa aaa aaa
Mohammad shah rangeele re
Sajna tum bin main ka
Ab din ratiyaan kachhu na suhaawe
Mohammad shah rangeele.

Mohammad Shah Rangeeley Re Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.