Mere Dil Ki Jali Hai Aaj Holi Lyrics – Lata Mangeshkar, Manna Dey
Ae ghunghroo ki
Jhankar sun’ne waalon
Ab toote dil ke
Taar ki bhi jhankaar suno
Mehfil ki muskaanon mein
Jhoomne waalon
Mere ansuwan se bheegi
Aaj pukaar suno
Kaisi kismat ne kee hai yeh thithholi
Mere dil ki jali hai aaj holi
Kaisi kismat ne kee hai yeh thhithholi
Mere dil ki jali hai aaj holi
Kaisi kismat ne kee hai yeh thhithholi
Ganga jaisa nirmal nishhhal
Sukhi ek gaaon thha
Sukhi ek gaaon thha
Rao rank dono baraabar
Nahin bhedbhaaw thha
Nahin bhedbhaaw thha
Uske gun gauravon se duniya doli ee
Kaisi kismat ne kee hai yeh thhithholi
Mere dil ki jali hai aaj holi
Kaisi kismat ne kee hai yeh thhithholi
Aise gaaon mein ik bhola
Bhala kulwant thha
Bhala kulwant thha
Sadaachaari sewa bhaavi
Man ka saadhu sant thha
Man ka saadhu sant thha
Uspe ik menka ne paapi drishti kholi ee
Kaisi kismat ne ki hai
Yeh thhithholi
Nadi paar us naagan ne ae
Jaal bichaaya
Jaal bichaaya
Naach gaan se logon ko
Deewaana banaaya
Deewaana banaaya
Phans gayee jaal mein uske
Janta bholi ee
Kaisi kismat ne kee hai yeh thhithholi
Maangne jawaab gaya wo
Chali nartaki ne chaal
Chali nartaki ne chaal
Shringaar ki aandhi mein
Phansaa panchi behaal
Phansaa panchi behaal
Kaate pankh chalaayee aisi goli
Kaisi kismat ne kee hai yeh thhithholi
Nahin nahin
Mere dil ki jali hai aaj holi ee
Kaisi kismat ne ki haiye thhithholi
Ha huyi bhang uski tapasya
Kahin ka raha na wo
Kahin ka raha na wo
Adhap patan ki seema thhi
Hua bhrasht aisa wo
Hua bhrasht aisa wo
Uski kutton ke jaisi haalat holi
Kaisi kismat ne ki hai yeh thhithholi
Kaise bolu kalejaa..
Kaise boloon o mere kanhaayee
Apne hi karmon se ye ae ae
Durdashaa banaayee
Durdashaa banaayee
Apne hi haathon apni
Chita hai rachaayee
Chita hai rachaayee
Aaj arthi bani hai meri doli ee
Aaj arthi bani hai meri doli ee
Kaisi kismat ne ki hai yeh thhithholi
Kaisi kismat ne
Kee hai yeh thhithholi.