Mere Chanda Mere Nanhe Lyrics – Lata Mangeshkar
Mere chanda mere nanhe
Mere chanda mere nanhe
Tujhe apne sine se kaise lagaau
Suni godi mein kaise uthaau
Mere chanda mere nanhe
Mere chanda mere nanhe
Tujhe apne sine se kaise lagaau
Suni godi mein kaise uthaau
Raat pariyo ka paigaam laayi
Chhup gaye laadle aanchalo mein
Raat pariyo ka paigaam laayi
Kis tarah so gaya tu akele
Kis tarah bin mere nind aayi
Mere chanda mere nanhe
Tujhe apne sine se kaise lagaau
Suni godi mein kaise uthaau
Tere sapne mein aa toh gayi
Main apani majburiya kya bataau
Tere sapne mein aa toh gayi
Main apani majburiya kya bataau
Bund bhi tann mein baaki nahi
Hai bhukh teri main kaise mitaau
Mere chanda mere nanhe
Tujhe apne sine se kaise lagaau
Suni godi mein kaise uthaau
Aadmi bhi hai bhagwaan bhi hai
Phir bhi phirta hai tu besahaara
Aadmi bhi hai bhagwaan bhi hai
Phir bhi phirta hai tu besahaara
Kaun tujhko gale se lagaaye
Pattharon ka hai yeh shehar saara
Mere chanda mere nanhe tujhe
Apne sine se kaise lagaau
Suni godi mein kaise uthaau
Dur jaana hai nanhe musaafir
Raaste mein kahi thak na jaana
Dur jaana hai nanhe musaafir
Raaste mein kahi thak na jaana
Thaamake meri aahon ki dori
Dhund le tu hi apana thikaana
Mere chanda mere nanhe
Tujhe apne sine se kaise lagaau
Suni godi mein kaise uthaau.