Mere Bhai, Tumhaara Haal Kaisa Hai? Lyrics – Gaurav Tripathi
Hui muddat bahut humane
Kabhi poochha na aapas mein
Ki mere bhai, barason se jo ab tum door rahte ho
Tumhaara haal kaisa hai?
Tumhaara haal kaisa hai?
Ye maana hum the jab bichhde
Hue the anginat jhagde
Macha kohraam tha ghar mein
Giri bijali thi aangan mein
Wo kab apni ladaayi thi?
Badon ki hi lagaayi thi
Tha unka faayda usmein
Kiya sauda tha aapas mein
Bati daulat utha kar ke
Humein mudda bana kar ke
Wo budhe jo ye kahte the
Ki hum-tum ek se bachche
Nahin ek saath pal sakte
Wo jhoothe the, wo jhoothe the
Hai rahna saath mein lekin
Bhala hum donon aapas mein koi bhi ranz kyon paale
Ye aaya hai kabhi dil mein
Kisi raaste ya mehfil mein
Jo hum nazarein milaayenge
Nahin kya muskuraayenge?
Vyatha donon gharon ki hi
Samajhata hoon main par phir bhi
Jo usmein rahte hain unki
Kabhi khushiyon se bhi jyaada
Koi bhi ghar bada hai kya?
Bhula karke main shikwe sab
Ye tumse poochhta hoon ab
Ki mere bhai, barason se jo ab tum door rahate ho
Tumhaara haal kaisa hai?
Tumhaara haal kaisa hai?.