Mere Bhagye Ke Vidhata Lyrics – Mohammed Rafi
Mere bhagye ke vidhata
Mere bhagye ke vidhata
Sukh dukh ke o data
Parabhu apni daya
Ka mujhe dan dede
Dede aisa ujira jo
Mita de andhiyara
Bas itna sahara
Bhagwan dede
Mere bhagye ke vidhata
Tujhse hi jag me
Hote andhere ujale
Tujhse hi jag me
Hote andhere ujale
Dukh ki ghadi me
Tu hi sabhi ko sambhale
Dukh ki ghadi me
Tu hi sabhi ko sambhale
Tere khel hai nirale
Tere khel hai nirale
O sansar ke rakh vale
O dayalu jara mujh
Pe bhi dhayan dede
Bas itna sahara
Bhagwan dede
Mere bhagye ke vidhata
Aisi sulgati hai jiwan ki bati
Aisi sulgati hai jiwan ki bati
Jal bhi na pati haye
Bujh bhi na pati
Jal bhi na pati haye
Bujh bhi na pati
Mai hu deep adh jala sa
Mai hu deep adh jala sa
Mujhe ghere hai nirasha
Mujhe asha ki
Kiran dayavan dede
Bhagwan dede
Mere bhagye ke vidhata
Parabhu apni daya ka
Mujhe dan dede
Dede aisa ujira jo
Mita de andhiyara
Bas itna sahara
Bhagwan dede
Mere bhagye ke vidhata
Hey parmesewar
Hey dukh hari
Ab na mujhe dukharo
Har lo meri vipda sari
Dukh se mujhe ubharo
Andhiyaro ke sagar se
Parbhu mujhko par utaro
Dedo aankho ko ujyari
Meri or niharo
Parbhu meri aur niharo
Parbhu meri aur niharo
Parbhu meri aur niharo.