Mera Paigham Mohabbat Ke Lyrics – Mohammed Rafi
Aaj kuchh kehna hai
Mujh ko jo ijaazat hogi
Baat chhoti si hai
Sun lo to inaayat hogi aa aaa aa aa
Mera paighaam mera paighaam
Paighaaaam paighaam a a
Mera paigham mohabbat ke
Siva kuchh bhi nahin
Mera paigham mohabbat ke
Siva kuchh bhi nahin
Zindagi pyaar ki raahat ke
Siva kuchh bhi nahin
Mera paigham mohabbat ke
Siva kuchh bhi nahin
Yeh poochha maine
Ek beemaar-e-mohabbat se
Yeh poochha maine
Ishq mein tu ne ye
Kya haal banaa rakkhaa hai
Wo dar-e-yaar ki chilman ko
Dikhaa kar bola
Mere mehboob ko mere mehboob ko
Pardon mein chhupaa rakkhaa hai
Kya zamaane mein ae ae
Kya zamaane mein adaawat ke
Siva kuchh bhi nahin ee
Mera paighaam mohabbat ke
Siva kuchh bhi nahin
Mera paighaam mohabbat ke
Siva kuchh bhi nahin
Be-wajah duniya ne neendon
Mein khalal daal diye
Be-wajah duniya ne neendon
Mein khalal daal diye
Chaahne waalon ne
Jab khwaab sunehre dekhe
Dekhne waalon ne inn
Pyaar ki raahon mein sadaa
Ya to deewaaren ae
Ya to deewaren hi dekhi hain
Ya pehre dekhe
Ye mohabbat ae ji ae ji haan
Ye muhobbat to i’baadat ke
Siva kuchh bhi nahin ee
Mera paighaam mohabbat ke
Siva kuchh bhi nahin
Mera paighaam mohabbat ke
Siva kuchh bhi nahin
Yeh bhi dastoor mohabbat ka niraala dekhaa
Yeh bhi dastoor mohabbat ka niraala dekhaa
Ek pardon mein jale doosra baazaaron mein
Iss tarah tanha tadapne se to achcha hogaa
Zinda chunwa de koyi ee ee
Zinda chunwa de koyi
Donon ko deewaaron mein
Ishq mein maut bhi ae ji haan
Ishq mein maut bhi raahat ke
Siva kuchh bhi nahin ee
Mera paighaam mohabbat ke
Siva kuchh bhi nahin
Zindagi pyaar ki raahat ke
Siva kuchh bhi nahin haay
Mera paighaam mohabbat ke
Siva kuchh bhi nahin.