Mera Dil Aashiqaana Hai Lyrics – Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Bahut haseen hai
Duniya meri nigaahon mein
Jo bas chaley to luta doon main
Dil ko raahon mein
Kyun bhai kis liye
Is liye ke mera dil il il
Mera dil aashiqaana hai haaye
Mera dil aashiqaana hai
Kabhi is par nisaar
Kabhi us par nisaar
Ye to zaalim deewaana hai ae
Mera dil aashiqaana hai haaye
Mera dil aashiqaana hai
Ye to jhoothha fasaana hai haaye
Ye to jhoothha fasaana hai
Kabhi itna garoor nahin karna hazoor
Bada naazuk zamaana hai ae
Ye to jhoothha fasaana hai haaye
Mera dil aashiqaana hai
Isi liye to ulajhhta hoon maahjabeenon se
Main to bas husn ka parwaana hoon
Hosh mein rah ke bhi deewaana hoon
Sirf itni hai haqeeqat meri
Ek rangeen sa afsaana hoon
Jo bhi nazren milaaye
Kabhi bachkar na jaaye
Jo bhi nazren milaaye
Kabhi bachkar na jaaye
Mera aisa nishaana hai ae ae
Mera dil aashiqaana hai haaye
Ye to jhoothha fasaana hai
Jaley jo shama to parwaane uspe girte hain
Tumhaare jaise jahaan mein hazaar phirte hain
Pyaar kya cheez hai tum kya jaano
Pehle khud ko to zara pehchaano
Tumse ek baat kahe dete hain
Chaahe maano ya ise na maano
Ek se dil lagaao use apna banaao
Ek se dil lagaao use apna banaao
Bura sabko sataana hai
Ye to jhoothha fasaana hai haaye
Mera dil aashiqaana hai
Sikha de koi mujhe pyaar to karam hoga
Jo pyaar seekh gaye tum
Bada sitam hoga
Zindagi meri sambhal jaayegi
Pyaar ki aag mein jal jaayegi
Aur agar ye bhi gawaara ho mujhe
Phir to duniya hi badal jaayegi
Koi dil to lagaaye
Pyaar kar ke dikhaaye
Koi dil to lagaaye
Pyaar kar ke dikhaaye
Ab to ye aajmaana hai ae ae
Mera dil aashiqaana hai haaye
Mera dil aashiqaana hai
Kabhi itna garoor nahin karna hazoor
Bada naazuk zamaana hai ae ae
Ye to jhoothha fasaana hai haaye
Mera dil aashiqaana hai haaye
Ye to jhoothha fasaana hai haaye
Ho mera dil aashiqaana hai haaye
Ye to jhoothha fasaana hai haaye
Mera dil aashiqaana hai haaye
Ye to jhoothha fasaana hai haaye
Mera dil aashiqaana hai haaye
Ye to jhoothha fasaana hai haaye
Mera dil aashiqaana hai haaye.