Mashriq Se Jo Aaye Lyrics – Kishore Kumar
Mashrik se jo aaye magrib me kho gaye
Are achhe khase log the deewane ho gaye
Ye achhe khsae log the deewane ho gaye
Are purab se jo nikale pashchim me kho gaye
Are achhe khase log the deewane ho gaye
Ye achhe khase log the deewane ho gaye
Hosh me vo sun sakte to unse itna kahana tha
Sharam wafa har aurat ka ek parda tha ek gahana tha
Desh inhone chhod diya
Lekin ghar me to rahana tha
Are ghar se jo nikale vo galiyo me kho gaye
Are achhe khase log the deewane ho gaye
Ye achhe khase log the deewane ho gaye
Inko kuchh bhi yaad nahi ye har reet bhula baite
Apni jaan ke ye dushaman apne meet bhula baithe
Shaam ki bansi radha ke sare geet bhula baithe
Are ganga ke maji madiro me kho gaye
Are achhe khase log the deewane ho gaye
Ye achhe khase log the deewane ho gaye
Isme aise log bhi hai jinki kuchh pahchaan nahi
Jinki kuchh tahsib nahi jinki koi dukaan nahi
Are ye jaane pahchane anjane ho gaye
Are achhe khase log the deewane ho gaye
Ye achhe khase log the deewane ho gaye
Mashrik se jo aaye magrib me kho gaye
Are achhe khase log the deewane ho gaye
Ye achhe kahse log the deewane ho gaye.