Man Patang (Episode 5) Lyrics – Banjyotsna Borgohain, Dominique Cerejo, Mahalakshmi Iyer
Aagoli kolapate lori sori baatori diye,
Pokhiti ure, uribo khuje,
Pokhiti uri uri uri uri deuka meli nilima sume
Mann patang mann patang udney chalaa,
Doriyon mein baandhne woh aasmaan,
Mann patang mann patang udney chalaa,
Naachtaa nidar sambhaale nannhi si jaan,
Kaagazi hai, parwaaz bhi hai, yeh roke se ruktaa kahan,
Laazmi hai awaaragi hai, kisiki ye paglaa hai suntaa kahan,
Mann malang mann malang mann ka bhalaa,
Ho duaa salaam toh hai miltaa wahaan,
Mann malang mann malang mann ka bhalaa,
Rabb ka saath miltaa ye rehtaa jahaan,
Paas bhi hai, talaash bhi hai, yeh dhoonde se milta kahan,
Raag bhi hai bairaag bhi hai, kahin bhi kisi mein ye dhaltaa kahan
Sau rang bhar ke hai udtaa, na kisi ka dar, chinta fikar, mann kahan kartaa ,
Baadal ki seedhi hai chadhtaa, sab toh idhar, iskaa hai ghar, isko hai dar kya ,
Sab toh yahan solaa aanaa kyun gareebi ka ronaa hai yun bewajaah,
Ho dil balaa ya bhalaa hai, ye kya hai
Traasdi hai mazaak bhi hai, museebat hai hal banke miltaa kahaan
Siloni aai mur aagote pore,
Aagoli kolapate lori sori baatori diye,
Pokhiti ure, uribo khuje,
Pokhiti uri uri uri uri deuka meli nilima sume
Mann patang mann patang udney chalaa,
Doriyon mein baandhne woh aasmaan,
Mann malang mann malang mann ka bhalaa,
Rabb ka saath miltaa ye rehtaa jahaan,
Kaagazi hai, parwaaz bhi hai, yeh roke se ruktaa kahan,
Raag bhi hai bairaag bhi hai, kahin bhi kisi mein ye dhaltaa kahan
Kyaa jaane kis se hai ladtaa, kabhi jaadugar, kabhi rahbar dil banaa firtaa
Khud raah apni hai chuntaa, dil ka safar, dil ke nagar, dil kiya kartaa,
Kisko yahan aazmaana kya hai khona kya paana, hai yun bewajah,
Dil khulaa toh mili main, mujhi mein,
Aap beeti toh baat seekhi ke bus mein kisi ke ye rehtaa kahan
Siloni aai mur aagote pore,
Aagoli kolapate lori sori baatori diye,
Pokhiti ure, uribo khuje,
Pokhiti uri uri uri uri deuka meli nilima sume
Siloni aai mur aagote pore,
Aagoli kolapate lori sori baatori diye,
Pokhiti ure, uribo khuje,
Pokhiti uri uri uri uri deuka meli nilima sume!.