Maiya Ke Bina Beta Lyrics – Mahendra Kapoor
Maiya ke bina beta
Maiya ke bina beta
Jaise panchhi kate par ka
Na ghar ka na bahar ka
Ho maiya ke bina beta
Samay se bhojan tak na mile
Use lori kaun sunaye re
Khilne ki falne ki umar me haye
Phulwa murjha jaye re
Wo phulwa murjha jaye re
Mata ke liye jo chandan
Apni mata ke liye jo chandan
Wahi dard auro ke sar ka
Na ghar ka na bahar ka
Maiya ke bina beta
Har koi usko aankhe dikhaye
Har koi dhutkare
Ek aachal ki chhaya bina
Jag sara bairi hua re
Use har koi dhutkare
Mol koi na samjha
Yaha mol koi na samjha
Abla ki dharohar ka
Na ghar ka na bahar ka
Maiya ke bina beta
Badi hai zimmedari
Bacho ki khatir har dukh
Haskar sahti hai maa bechari
Dukh sahti hai maa bechari
Baki sab rishto me
Ho baki sab rishto me
Pyar hota hai upar ka
Na ghar ka na bahar ka
Maiya ke bina beta
Dhup sahi barsate nikali
Sone ki deh galai hai
Tab kahi jake bete ko maa
Is manzil par la payi hai
Is manzil par la payi hai
Dukhiya ke bete ne
Ek dukhiya ke bete ne
Pad paya hai aadar ka
Na ghar na bahar ka
Maiya ke bina beta
Bichhde hue mil jate hai lekin
Der badi ho jati hai
Ek choti si bhul bhi hamko
Kitna khun rulati hai
Hame kitna khun rulati hai
Rah jata hai man ko
Rah jata hai man ko
Pachtawa umarbhar ka
Na ghar ka na bahar ka
Ho maiya ke bina beta
Jaise panchhi kate par ka
Na ghar ka na bahar ka
Maiya ke bina beta.