Maiee Lyrics – Pankaj Udhas
Ambar ki ye unchaai
Saagar ki ye gehraai
Tere mann mein hain samaai
Maiee o maiee
Tera mann amrit ka pyaala
Yahin kaaba yahin shivala
Teri mamta jeevan daai
Maiee o maiee
tere saath rahun
Main banke tera humjholi
Tere haath na aau chhup jaaun
Yun khelun aankh micholi
Jee chahein kyun
tere saath rahun
Main banke tera humjholi
Tere haath na aau chhup jaaun
Yun khelun aankh micholi
Pariyon ki kahani sunake
Koi meethi lori gaake
Karde sapne sukh daai
Maiee o maiee
Ambar ki ye unchaai
Saagar ki ye gehraai
Tere mann mein hain samaai
Maiee o maiee
Sansaar ke taane baane se
Ghabhrate hain mann mera
Inn joothe rishte naato mwin
Bas pyaar hain sachcha tera
Sansaar ke taane baane se
Ghabhrate hain mann mera
Inn joote rishte naato mein
Bas pyaar hain sachcha tera
Sab dukh sukh mein dhal jaaye
Teri baahein jo mil jaaye
Mil jaaye mujhe khudaai
Maiee o maiee
Ambar ki ye unchaai
Saagar ki ye gehraai
Tere mann mein hain samaai
Maiee o maiee
Phir koi shararat ho mujhse
Naraaj kaun phir tujhko
Phir gaal pe pappy maar ke tu
Seene se laga le mujh ko
Phir koi shararat ho mujhse
Naraaj kaun phir tujhko
Phir gaal pe pappy maar ke tu
Seene se laga le mujh ko
Bachapan ki pyaas bujha de
Apne hatho se khila de
Pallu mein bandhi mitthai
Maiee o maiee
Ambar ki ye unchaai
Saagar ki ye gehraai
Tere mann mein hain samaai
Maiee o maiee
Jaade ki thandi raaton mein
Jab der se main ghar ko aaun
Halki si dastak par apni
Tujhe jaagta huaa main paaun
Jaade ki thandi raaton mein
Jab der se main ghar ko aaun
Halki si dastak par apni
Tujhe jaagta huaa main paaun
Sardi se thitharti jaaye
Thanda bistar apnaaye
Mujhe dekar garam rajhaai
Maiee o maiee
Ambar ki ye unchaai
Saagar ki ye gehraai
Tere mann mein hain samaai
Maiee o maiee
Tera mann amrit ka pyaala
Yahin kaaba yahin shivala
Teri mamta jeevan daai
Maiee o maiee.