Lost Lyrics – RCR
Unki galti nahi jo mujhe galat samajhte hai
Kyuki woh mujhe samajh hi nahi paye
Mere karmo pe raha ab mujhe koi naaz nahi
Khuli kitaab hua bacha koi raaz nahi
Maana ke ab mujhe kisi se na pyar hai
Par aaj bhi ye banda kabhi hua dhokebaaz nahi
Khata hoon gham aansu peeye jaa raha hoon
Kehta naa kuch honth siye jaa raha hoon
Aur koi hota shayad mar hi jata
Ek main hi pata nahi kaise jiye jaa raha hoon
Karta nahi koyi par dikhawe sab karte hai
Matlab ho inko to panv tak padte hai
Kya lena kisi ko rcr se
Sab paise rutbe aur shohrat pe marte hai
Khareedna chahe imaan par main na bikun
Khwahish inki inse upar naa dikhun
Kahe kayi fans rona dhona hi likhega
Jab gham hi ho dil mein to khushi kaise likhun
Milti hai hate ab har ek deewane se
Koi nahi puchta bhai kaise ho tum
Yahan logo ko matlab bas photo khichwane se
Mile tali ya gali khwaab bunta rahunga
Neki ke raaste main chunta rahunga
Accha hoon dil ka par itna bhi nahi
Koyi kuch bhi kahega main sunta rahuga
Insaan ki fitrat se nafrat nahi karta main
Rab ka khauf kisi ke baap se ni darta main
Mujhe mitaane wale paida nahi huye
Amar ho chuka hoon iss sadi mein ni marta main
Bekhof hoke seekha zindagi mein aage badhna
Bekhof hoke seekha zindagi mein aage badhna
Jab dene wala rab to insaano se kyun darna
Neende mar gayi hai meri rahun raaton ko jaagta
Khush rehta hoon chahe meri khushiyan hai laapata
Neende mar gayi hai meri rahun raaton ko jaagta
Khush rehta hoon chahe meri khushiyan hai laapata
Acche bante ho tum logon ke saamne
Par dekh raha bhai tujhe tera bhagwan hai
Message karke log kehne lage hai
Tu to sar se panv tak poora fake insaan hai
Mtv pe sahi tha ab kya gaa raha hai
Sahi tha banda ab kya hota jaa raha hai
Fame chada hai iske sar pe
Bas ladkiyan dikhake yeh views kha raha hai
Bewajah apno se huye badnaam hai
Kabhi kabhi lage dil dena hi haram hai
Shehar mein tere utne log naa honge dost
Jitne mujpe lag chuke ilzaam hai
Leave kisi se bhi koi gila nahi
Kya hua jise chaha mujhe mila nahi
Umar guzardi gairon ke gham bharne mein
Khud ka zakham aaj tak mera sila nahi
Ghav hai gehre kaam kare na shafi
Dil dukhaye anjane mein to mafi
Nahi hasrat gane 100 millon jaye
Jo bhi sunte dil se mujhe utne hi kafi
Shukriya unka jo karein fariyaad
Mujhe dua ne bachaya nahi to ho jata barbaad
Chahat hai meri mere geet ho amar
Meri maut ke baad bhi log rakhein mujhe yaad
Meri photo ko seene se lagake sote dekha hai
Koi khwabon mein na soche
Jo asal mein hote dekha hai
Tum karte ho baat deewangi ki dost
Mujhe chhune ke liye maine logo ko rote dekha hai
Hassi main sau dard
Main nakaab posh chehra hoon
Hassi main sau dard
Main nakaab posh chehra hoon
Kaun samjhe mujhe
Main samandar se bhi gehra hoon
Neende mar gayi hai meri
Rahun raaton ko jaagta
Khush rehta hoon chahe
Meri khushiyan hai laapata
Neende mar gayi hai meri
Rahun raaton ko jaagta
Khush rehta hoon chahe
Meri khushiyan hai laapata.