Laree Chootee Lyrics – Call (Band)
Woh jo kehte hai na
Jo hota hai acche ke liye hota hai
Galat kehte hai…
Phirta tha mein awara
Yeh kya se kya hogaya
Chaar din ki zindagani
Har pal ki ek nayi kahani
Kya tha mein kya ban gaya
Kya hua jo laree chootee
Jeevan ki gadi looti
Khwaab hai tu mujhko naa jaga
Zindagi ek pal mein salli
Yun palat gai humari
Jhooth hai tu mujhko na bataa
Mumbai suna hai yahan adami
Appni puri zindigi
Slow track se fast track laane
Mein nikal deta hai
Per dhai ghante mein
Meri kismat aise
Slow track se fast track mein
Aa jayigi mene socha nahin tha
Saza maza ban jayegi
Yeh bhi kabhi socha nahin tha
Last local kya chutti
Sala kismat patri per aagayi
Karlo jo bhi karna hai
Hota hai jo hona hai
Guzra toh pal yeh phir na aayega
Kya bura hai kya bhala hai
Waqt hi shayaad khuda hai
Ho jane do phir dekha jayega
Kya hua jo laree chootee
Jeevan ki gadi looti
Khwaab hai to mujhko naa jaga
Zindagi ek pal mein salli
Yun palat gai humari
Jhooth hai tu mujhko na bataa
Kehte hai na
Jo hota hai acche ke liye hota hai
Sahi kehte hai.