Laree Chhuti Lyrics – Xulfi
Woh kehte hai na
Jo hota hai acche
Ke liye hota hai
Galat kehte hai
Kismat ka khel hai sara
Phirta tha mein awara
Yeh kya se kya hogaya
Chaar din ki zindagani
Har pal ek nai kahani
Kya tha mein kya ban gaya
Jeevan ki gadi looti
Khwaab hai to mujhko naa jaga
Zindagi ek pal mein salli
Yun palat gai humari
Jhooth hai to mujhko na bataa
Mumbai suna tha
Yahan adami
Puri zindagi apni
Kismat slow track se
Fast track laane
Mein nikal deta hai
Per dhai ghante
Mein meri kismat
Aise slow track
Se fast track per
Aa jayigi yeh mene
Kabhi socha nahi tha
Saza maza ban jayegi
Yeh bhi kabhi socha nahi tha
Last local kya chutti
Sala kismat patri per aagayi
Karlo jo bhi karna hai
Hota hai jo hona hai
Guzra to pal yeh phir na aayega
Kya bura hai kya bhala hai
Waqt hi shayaad khuda hai
Ho jane do phir dekha jayega
Kya hua jo larrri chhuti
Jeevan ki gadi looti
Khwaab hai to mujhko naa jaga
Zindagi ek pal mein salli
Yun palat gai humari
Jhooth hai to mujhko na bataa
O kehte hai na
Jo hota hai acche
Ke liye hota hai
Sahi kehte hai.