Lakhon Log Chale Hai Bilakhte Lyrics – Asha Bhosle, Ramchandra Baryanji Dwivedi (Kavi Pradeep)
Lakho log chale hai sisakte
Kaha ho duniya ke rakhwalo
Ek najar in par bhi dalo
Dekho ye dukhio ki katare
Chin rahi hai inki bahare
Ye sare insan lute hai
Inke sab arman lut hai
Inke sapne tut gaye hai
Sathi pichhe chut gaye hai
Aise hal hue hai inke
Jaise ho tufan ke tinke
Haye siyasat kitni gandi
Buri hai kitni thirka bandi
Aaj ye sab ke sab nar nari
Ho gaye rashte ke bikhari
Lute hai lahko suhag gharo ke
Bujhe hai lakho chirag gharo ke
Puchho aaj kahenge ye mukhde
Kitni chidiyo ke ho gaye tukde
Dekho hamne ghar ko
Kis tarah bata hai
Ek hath ne hath dusra kata hai
Dekho ye ghayal takdire
Gum ki ye jinda taswire
Koi na isko suhagan kahna
Kahna ho to abhagan kahna
Kahi pe inke pyare chin gaye
Kahi pe inke dulare chin gaye
Inka dil kuch aisa hai tuta
Inko lagta hai jag jhutha
Inko hui hai jahan se nafrat
Inko hui hai insan se nafrat
Apni ye dukhiyaro bahne
Konsi duniya mein jaye rahne
Inko dhokha dene walo
Inse badla lene walo
Kaho inhone kya tha bigada
Inka ghar kyu tumne ujada
Chin liye kyu inke khilone
Kon sa pap kiya tha inhone
Lakho prani juda hue lachan bane
Karenge aisa dharam ki jo diwar bane
Karenge aisa dharam ki jo diwar bane
Karenge aisa dharam ki jo diwar bane.