Kya Hai Naari Ki Shaan Lyrics – Surendra
Kya hai naari ki shaan
Duniya ko batlaunga main
Kya hai naari ki shaan
Kya hai naari ki shaan
Prem ki dewi roop ki rani
Kudrat ki anmol kahani
Prem ki dewi roop ki rani
Kudrat ki anmol kahani
Jisko bana kar jhum gaya tha
Khush hokar bhagwan
Jisko bana kar jhum gaya tha
Khush hokar bhagwan
Ye hai naari ki shaan
Ek dafa ye jisko chahe
Marte dam tak usko nibhaye
Ek dafa ye jisko chahe
Marte dam tak usko nibhaye
Jisko ye dil dede apna
Dede usi pe jaan
Jisko ye dil dede apna
Dede usi pe jaan
Ye hai naari ki shaan
Maa se badhkar prem hai kiska
Wo bhi to hai nari
Wo bhi to hai nari
Usko jo jhuthlaya jag mein
Wo hai atyachari
Wo hai atyachari
Uski kokh manushyata sabka
Uski god mein palta hai
Duniya ka har insan
Ye hai naari ki shaan
Ye hai naari ki shaan
Jiske gham se
Duniya ke hai bahar
Jiske gham se
Duniya ke hai bahar
Jiske dam se
Sundar hai sansar
Jiske dam se
Sundar hai sansar
Ye jo na hoti to phir
Ye duniya thi viran
Ye jo na hoti to phir
Ye duniya thi viran
Duniya thi viran
Ye hai naari ki shaan
Ye hai naari ki shaan
Duniya ko batlaunga main
Kya hai naari ki shaan
Kya hai naari ki shaan.