Koi Lakh Kare Chaturai Lyrics – Ramchandra Baryanji Dwivedi (Kavi Pradeep)
Karam ka lekh mitte na re bhai
Karam ka lekh mitte na re bhai
Zara samjho iski sachai re
Karam ka lekh mitte na re bhai
Is duniya me bagya ke aage
Chale kisi ka upay
Kagad ho to tab koi banche
Karam na bancha jaye
Ek din isi kismat ke karan
Ban ko gaye the raghurayi re
Karam ka lekh mitte na re bhai
Koi lakh kare chaturai
Karam ka lekh mitte na re bhai
Karam ka lekh mitte na re bhai
Kahe manva dhiraj khota
Khahe tu nahak roye
Apna socha kabhi na hota
Bagya kare vo hoye
Chahe ho raja chahe bikhari
Tokar sabhi ne yaha khai re
Karam ka lekh mitte na re bhai
Koi lakh kare chaturai
Karam ka lekh mitte na re bhai
Karam ka lekh mitte na re bhai.