Koi Kuchh Bhi Kahe Lyrics

in

"Koi Kuchh Bhi Kahe" Song Details:

Movie: Duniya Hai Dilwalon Ki (1966)
Singer(s):Mohammed Rafi
Lyricist(s):Anjum Jaipuri
Composer(s):Jimmy
Music Director(s):Jimmy
Genre(s):Qawwali
Director(s):Jain
Music Label:© Saregama
Starring:Motilal, Shyama, Murad, Agha, Daisy Irani, Bhagwan, Leela Mishra, Johny Whiskey

Koi Kuchh Bhi Kahe Lyrics – Mohammed Rafi

Koi kuchh bhi kahe pyare
Magar ye bat pakki hai
Yaha aata hai wo jis par
Koi ilzam hota hai
Ha shabab koi na koi tha
Jo yu khinchkar chale aaye
Ye to kismat hai meri jaa
Varna kaun apni khushi se aaye yaha
Dane dane pe naam hota hai
Wahi dane hume le aaye yaha
Ye to kismat hai meri jaa
Varna kon apni khushi se aaye yaha
Dane dane pe naam hota hai
Wahi dane hume le aaye yaha
Ye to kismat hai meri jaa

Yaar apna ek imamamu din tha
Manchala tha aur bahut shaukin tha
Ha sath chopati gaye hum ghumne
Arey husn walo pe laga wo jhumne phir

Kabhi ladki ko yu bulata tha
Dhire dhire siti bazata tha
Dhire dhire siti bazata tha
Gagna zamuna ke gane gata tha
Raz ki tarha muskurata tha
Ek ladki ko zara,
Ek ladki ko zara jhadi si
Pehne huye wo kali sadi si
Uski aankho me deep jalte the
Dekhne wale aankhe malte the
Rat soyi thi uske balo me
Chand hansta tha gore galo me
Aayi shamat use salam kiya
Usne chappal se apni kam liya

Ha ched khani ka maza mehanga pada
Aur humko pyare jel me aana pada
Ye to kismat hai meri jaa
Varna kon apni khushi se aaye yaha
Dane dane pe naam hota hai
Wahi dane hume le aaye yaha
Ye to kismat hai meri jaa

Dhokha diya nasib ne bankar bigad gaya
Aaye haye arey kadke ki
Jeb me jo mera hath pad gaya to phir
Kholkar dekha pocket khali tha
Pocket wala bhi khud shawali tha
Band kagaj me dil ki tehrire
Husn walo ki chand takdire
Apni kismat ke rang aise the
Ek sigret thi char paise the
Char paiso me gujar kab hoti
Husn walo ki nazar kab hoti
Unhe daulat se pyar hota hai
Inki bala se koi rota hai
Aaya gusa to pocket phenk diya
Pocket wale ne mujhko dekh liya

Ha bhagna chaha magar mai gir pada
Jaise utha muh pe ek thappad pada
Ha apne peshe se huyi nafrat mujhe
Jel me karni padi kasrat mujhe
Ye to kismat hai meri jaa
Varna kon apni khushi se aaye yaha
Dane dane pe naam hota hai
Wahi dane hume le aaye yaha
Ye to kismat hai meri jaa

lyricsbogie.com
Baap zinda tha bahut aaram tha
Ghar me apna ramchandar naam tha
Aur ab hume ab ramu dada kahte hai
Chal me gangu ki hum rahte hai
Aye ji mandir ka dhandha hota tha
Apni masti me banda sota tha
Yuhi phokat me kam chalta tha
Kale ghode tak naam chalta tha
Dil me chahat thi badi shehre ki
Aane wali thi ghadi phere ki

Ha ma kasam apna ye dil kala nahi
Dosto ki bat ko tala nahi
Ha laye is masling ka sona
Chal me ramchandra ko fasaya jal me
Ye to kismat hai meri jaa
Varna kon apni khushi se aaye yaha
Ye to kismat hai meri jaa
Varna kon apni khushi se aaye yaha
Dane dane pe naam hota hai
Wahi dane hume le aaye yaha
Ye to kismat hai meri jaa.

Koi Kuchh Bhi Kahe Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.