Kitani Yaaden Lyrics – Amit Kumar Ganguly
Chhoda aaya main pichhe mere
Kitani yaaden kitane lamhe
Chhoda aaya main pichhe mere
Kitane waade kitani kasmein
Tod aaya main pichhe mere
Kitani yaade kitane lamhe
Chhod aaya main pichhe mere
Kitane waade kitani kasmein
Tod aaya main pichhe mere
Saari duniya saath mere
Chal rahi thi haste haste
Kaarwaan ye zindagi ka
Loota gaya kyun chalte chalte
Bekhabar tha aur deewana
Aane wale tufaan se main
Kitna magroor aur
Khudgarz ban gaya hai
Ab to insaan khuda
Khud ko samjhne laga hai
Kitna magroor aur
Khudgarz ban gaya hai
Ab to insaan khuda
Khud ko samjhne laga hai
Mamta ka mol nahi na pyar ka wafa ka
Kaisa ye haal hai khuda dekh tere jahaan ka
Ab kahun kya zindagi se kyun rulaya itna mujhe
Bewafa tu pal do pal de saki na khushi mujhe
Din woh pal chhin jo beete
Sukh ya phir dukh mein
Kaash main kar paata main unko
Phir se apne bas mein
Din woh pal chhin jo beete
Sukh ya phir dukh mein
Kaash main kar paata main unko
Phir se apne bas mein
Insaan insaan huaa karta tha
Tab is jag mein
Sukh aur dukh mein nibhata
Pyar ki woh kasmein
Kitani aasha kitane sapne
Ke aaya tha jag mein tere
Joothi duniya toote sapne
Kyun ke aanchal sang mein tere
Kitani yaade kitane lamhe
Chhod aaya main pichhe mere
Kitane waade kitani kasmein
Tod aaya main pichhe mere
Saari duniya saath mere
Chal rahi thi haste haste
Kaarwaan ye zindagi ka
Loota gaya kyun chalte chalte
Bekhabar tha aur deewana
Aane wale tufaan se main.