Kisi Gaon Mein Lyrics – Dilraj Kaur
Kisi gaon mein ek hasina thi koi
Wo sawan ka bhiga mahina thi koi
Jawani bhi us par badi meharban thi
Mohabbat zameen hai to wo aasman thi
Wo ab tak hai zinda wo ab tak jawa hai
Kitabe mohabbat ki wo dasta hai
Use dekh kar mum hote the patther
Magar humse puchho na uska mukaddar
Nagar ki bahu wo banayi gayi thi
Alag uski mehfil sajayi thi uski
Wo gaon ke ladko ko chahat sikhati
Sabak wo mohabbat ka unko padhati
Na puchho kahani mein kya mod aaya
Hua pyar usko kisi naujawan se
Natija na puchho hamari juban se
Mohabbat ki raaho pe jis din chali wo
Zamane ki nazaro mein mujrim bani wo
Nasibo mein uske mohabbat nahi thi
Mohabbat thi usko izazat nahi thi
Zamane ne aakhir use jab saza di
Hasina ne apni yeh jaan tak luta di
Wahi aasman hai wahi yeh zameen hai
Jawan wo hasina kahi bhi nahi hai
Magar ruhe ulfat ki manzil juda hai
Mohabbat ki duniya ka apna khuda hai
Wo ab tak hai zinda wo ab tak jawa hai
Kitabe mohabbat ki wo dasta hai
Kisi gaon mein ek hasina thi koi
Wo sawan ka bhiga mahina thi koi.