Khairiyat Lyrics – Arijit Singh
खैरियत पूछो कभी तो कैफियत पूछो
तुम्हारे बिन दीवाने का क्या हाल है
दिल मेरा देखो ना मेरी हैसियत पूछो
तेरे बिन एक दिन जैसे सौ साल है
अंजाम है तय मेरा
होना तुम्हें है मेरा
जितनी भी हों दूरियां फिलहाल हैं
ये दूरियां फिलहाल हैं
तुम्हारी तस्वीर के सहारे
मौसम कई गुज़ारे
मौसमी ना समझो पर इश्क को हमारे
नज़रों के सामने मैं आता नहीं तुम्हारे
मगर रहते हो हर पल मंज़र में तुम हमारे
अगर इश्क से है मिला
फिर दर्द से क्या गिला
इस दर्द में ज़िन्दगी खुशहाल है
ये दूरियां फिलहाल हैं
ओ.. खैरियत पूछो कभी तो कैफियत पूछो
तुम्हारे बिन दीवाने का क्या हाल है
अंजाम है तय मेरा
होना तुम्हें है मेरा
जितनी भी हों दूरियां फिलहाल हैं
ये दूरियां फिलहाल हैं.
Khairiyat pucho, kabhi to kaifiyat pucho
Tumhare bin deewane ka kya haal hai
Dil mera dekho, na meri haisiyat pucho
Tere bin ek din jaise sau saal hai
Anjaam hai tay mera
Hona tumhe hai mera
Jitni bhi hon dooriyan filhaal hain
Yeh dooriyaan filhaal hain
Tumhari tasveer ke sahaare
Mausam kai guzaare
Mausami na samjho par ishq ko humaare
Nazron ke saamne main aata nahi tumhare
Magar rehte ho har pal manzar mein tum humare
Agar ishq se hai mila
Phir dard se kya gila
Iss dard mein zindagi khush’haal hai
Yeh dooriyaan filhaal hain
O…khairiyat pucho kabhi to kaifiyat pucho
Tumhare bin deewane ka kya haal hai
Anjaam hai tay mera
Hona tumhe hai mera
Jitni bhi ho dooriyan filhaal hain
Yeh dooriyaan filhaal hain.