Karwat Wo Zamane Lyrics – Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Karwat wo zamane ne badli
Na idhar ke rahe na udhar ke rahe
Gham marne ka nahi na jine ki khushi
Na idhar ke rahe na udhar ke rahe
Karwat wo zamane ne badli
Jis bag ko sicha tha hamne
Pal bhar mein fiza ne lut liya
Haye lut liya
Jis bag ko sicha tha hamne
Pal bhar mein fiza ne lut liya
Haye lut liya
Mitti mein jawani milti rahi
Na idhar ke rahe na udhar ke rahe
Karwat wo zamane ne badli
Afsos wahi kata nikla kata nikla
Jis phul ko samjhe phul the hum
Afsos wahi kata nikla kata nikla
Khilne hi na payi dil ki kali
Na idhar ke rahe na udhar ke rahe
Karwat wo zamane ne badli
Barbad hona likha tha
Barbad hona likha tha
Duniya mein jo hum barbad huye
Barbad huye
Taqdeer ke aage kuch na chali
Taqdeer ke aage kuch na chali
Na idhar ke rahe na udhar ke rahe
Karwat wo zamane ne badli.