Karta Hai Ek Ravi Dilsoj Lyrics – Mohammed Rafi
Ramjan ke mahine ki mashur dasta
Mulke yaman me ladka tha ek aath saal ka
Charcha tha sahar sahar me jiske jamal ka
Roza khuda ke naam pe rakhne ka saukh tha
Ramjan ka jo chand usko nazar aa gaya
Kahne laga ye maa se ke roza rakhunga mai
Mujhko jagana rat ko sahri karunga mai
Bache ki baat na kiya maa ne kuch khyal
Ladka jo subah utha to usko hua malal
Samjhaya maa ne aye
Mere dilbar na kar malal
Roza nahi hai farz
Abhi tujhe mere lal
Masum dil pe thesh lagi
Maa se yu kaha
Ammi suno ye kahta hai
Kuran me khuda
Roze ki bukh pyas ka jo gham uthayega
Us rozadar ko na jahanam jalayega
Kuran ka nujum is maha me hua
Tauba kabul karta hai is mah me khuda
Alkisha rat aayi to wo jagta raha
Kahna kisi ka kuch na suna roza rakh liya
Sahri wo karke soya
Aur so ke jab utha
Bete ka matha chum kar
Father ne ye kaha
Roza na rakh sakega
Tu zid apni chhod de
De dungi apna roza tujhe
Apna roza tod de
Ladka ye bola khana mai
Har giz na khaunga
Apne khudaye pak ko
Kya muh dikhaunga
Do pahar dhalke hasar ka
Jab waqt aa gaya
Pani begair pyas se
Sushkh ho gaya gala
Sine me sans ruk gayi
Chakkar sa aa gaya
Kamsim tha na jamin tha
Chakra ke gir pada
Harkat jo dil ki band hui
Aankh jhuk gayi
Nazre idhar ruki to
Udar sans ruk gayi
Maa ne kaha pukar ke
Masum chal diya
Awtar ki khushi se
Mahrum chal diya
Maa bap lash dekhte the apne lal ki
Maiyat padi thi samne ek aath saal ki
Aakhir to roza kholne ka waqt aa gaya
Dono ne bete ke gham me khaya na kuch piya
Nagah dar pe sawali ne aake di sada
Sahil ki sakal me tha farishta khada hua
Aawaz di ke le lo fakiro ki tum dua
Mai bhi hu rozadar do allah ke naam ka
Jis dam suni fakir ki dono ne ye sada
Avtar ko jo rakha tha sahil ko de diya
Sahil ne bikh leke kaha majra hai kya
Matam hai ghar me kaisa
Ye mujhko bhi do baata
Sahil ko apne sath fidar ghar me le gaya
Hardang ke janaje ko la kar dikha diya
Bache ki lash dekh ke sahil ne kuch pada
Sine pe hath rakh ke ye murde ko di sada
Aye nanhe rozadar tu ab roza khol de
Gham gin maa khadi hai zara maa se bol le
Jumbish labo pe hone lagi aankh khol di
Bache ko jinda dekh kar mother lipat gayi
Sahil ye kahke aankho se ruh tosh ho gaya
Bejha hua mai aaya tha parwardigar ka
Tha imtiha ka waqt musibaat ki ghadi
Jo uspe jan dete hai marte nahi kabhi
Marte nahi kabhi.