Kar Bhala Hoga Bhala Lyrics – Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Jinke karan galiyo galiyo
Bhatke thak kar chur hue
Bich dagar me chhod ke dekho
Wo bhi humse dur hue
Kar bhala hoga bhala
Ant bhale ka bhala
Kar bhala hoga bhala
Ant bhale ka bhala
Kal ka hai kisko pata
Aaj sab kuchh hai tera
Kal ka hai kisko pata
Kar bhala hoga bhala
Ant bhale ka bhala
Jaisa koi beej hai bota
Waisi chadhti bela yaha
Kaisa raja kaun bhikhari
Sab karmo ka khel yaha
Sath kisi ke mela
Koi bhatke akela
Kar bhala hoga bhala
Ant bhale ka bhala
Aaj sab kuchh hai tera
Kal ka hai kisko pata
Kar bhala hoga bhala
Ant bhale ka bhala
Jiwan kam hai dur hai manzil
Sapno me na dol jara
Nind me biti jaye umariya
Ankh musafir khol jara
Dekh tere jiwan ka
Ek din or dhala
Kar bhala hoga bhala
Ant bhale ka bhala
Ghar baste hai roz jaha me
Baske ujadne ke liye
Milta hai har ek yaha par
Milke bichhadne ke liye
Chalti dagar hai duniya
Ek aaya ek chala
Kar bhala hoga bhala
Ant bhale ka bhala
Kal jo karega aaj bharega
Ye nagari jo paar ki hai
Murakh ab kyu neer bahaye
Reet yahi sansar ki hai
Deep jo bujhaya kisi ka
Tera bhi bujhega diya
Kar bhala hoga bhala
Ant bhale ka bhala
Kar bhala hoga bhala
Ant bhale ka bhala.