Kanhaiya Kanhaiya Lyrics – Kaumudi Munshi, Lata Mangeshkar, Manna Dey, Venod Sharma
Satyabhama aur rukmini rani
Dono krishn ki thi deewaani
Bhaama agni ka angaara
Rukmini shital jal ki dhaara
O puja ke phul chadhaati
Yeh paayal ke geet sunaati
Kanhaiya o kanhaiya koyi
Murali ki taan suna de
Mere tann mann mein
Aag laga de laga de
Kanhaiya o kanhaiya koyi
Murali ki taan suna de
Mere tann mann mein
Aag laga de laga de
Kanhaiya o kanhaiya
Aa aa aa aa aa
Main hi tohe dekhu sawariya
Dekhe na koyi duji najariya
Mai hi to hu teri bawariya mai hi
Sunu bas tori basuriya bansi bajaiya
Kanhaiya o kanhaiya koyi
Murali ki taan suna de
Mere tann mann mein
Aag laga de laga de
Kanhaiya o kanhaiya
Janm divas rukmini ka aaya
Sajani ne saajan ko bulaaya
Vyakul naina baat nihaare
Aaj mere ghar naath padhaare
Main nahi jaane dungi kaanha
Main na sunungi koyi bahaana
Priye kisika mann na todo
Dekho suno jaane do chhodo
Narayan narayan baat
Huyi kya krishn muraari
Kyun ruthi hai sundar naari
Achchhe samay par aap padhaare
Vipda mein hai praan hamaare
Rukmini kahe mere sang aao
Bhaama kahe naath mat jaao
Jiska nimantran aaya pehle
Bhagvan jaaye usake mehle
Narad ji narayan
Rukmini ke sang chale kanhaayi
Bhaama ko yeh baat na bhaayi
Narayan kyun baithi ho khoyi
Khoyi mere yogya hai seva koyi
Bhare nahi abhi ghav purane
Phir aaye ho aag lagane
Main sabka sevak tum jaano
Chahe parakhlo jo na mano
Koi upay aap bataye wo
Sautan ke ghar na jaaye
Accha to ek vrat rakhogi
Apne pati ka daan karogi
Wah wah dhoonda khub upay
Aapse toh bas raam bachaay
Nis din dekhu jinake sapne
Kho baithu woh pritam apne
Tum nahi samajhi kaisa khona
Unake barabar tolke sona
Mol bhraman ko dena
Mohan ko waapas le lena
Bas itna hi aap kare wrat ki
Taiyaari bhaama jeeti rukmini haari
Parantu krishn hai bhaari
Jitna tere paas hai sona itna
Wa narad ji sone ke bhandar jo
Kholu ek nahi sau krishn main tolu
Narayan narayan
Itni bhaari nahi kanhaayi
Yeh tera sona nakali hai
Mera manmohan asali hai
Mere paas jo tha le aayi
De do mujhko krishn kanhaayi
De du leke jarasa sona
Mohan hai ya koyi khilauna
Chal tujhko sansaar mein bechu
Daaso ke baazaar mein bechu
Lo yeh tambura bansi bajaiya
Pakdo yeh kartal kanhaiya
Bhama swami kaisa swami kiska
Swami swami ki ho gayi nilami nilami
Suno suno ai jaanewaalo hai
Yeh sasta maal uthaalo
Suno suno ai jaanewaalo hai
Yeh sasta maal uthaalo
Sabki mann ki aas main bechu
Kaisa sundar das main bechu
Jivan ki naiya ka khiwaiya
Iska naam hai krishn kanhaiya
Iska naam hai krishn kanhaiya
Main padati hu paanv tumhaare
Nagari nagari dware dware
Mujhko yu badnam karo na
Shyam ko tum nilaam karo na
Apna ghar jo aap jalaaye
Usaki bigadi kaun banaaye
Bhul huyi mujhse yeh bhaari
Jaau kaha viraha ki maari
Rukmini se tum baat yeh puchho
Kaise milenge naath yeh puchho
Rukmini meri bhul bhula de
Koyi jatan kar krishn mila de
Aa bhaama main tujhpe waari
Tu hai mere krishn ki pyaari
Kya yeh dukh kewal tera hai
Jo tera hai woh mera hai
Na maaya se na shakti se
Bhagvan milte hai bhakti se
Kanhaiya kanhaiya kanhaiya kanhaiya
Kanhaiya kanhaiya kanhaiya kanhaiya
Pat meri rakho mere bansi bajaiya
Kanhaiya kanhaiya kanhaiya kanhaiya
Jivan do paladu ka taraaju
Ek mein jag saara ek mein bas tu
Jag halka tu bhaari bansi bajaiya
Kanhaiya kanhaiya kanhaiya kanhaiya
Pat meri rakho mere bansi bajaiya
Na maaya se na shakti se
Bhagvan milte hai bhakti se.