Kahe Paise Pe Itna Gurur Kare Hain Lyrics – Kishore Kumar
Chaar paise kya mile
Kya mile bhai kya mile
Khud ko samajh baithe khuda
Woh khuda hi jaane
Ab hoga tera anjaam kya
Kahe paise pe
Kahe paise pe itna
Guroor kare hain
Kahe paise pe itna
Guroor kare hain
Yehi paisa to
Yehi paisa to apno se
Door kare hain
Door kare hain
Kahe paise pe itna
Guroor kare hain
Guroor kare hain
Unche mehalo mein
Dard zyada hai chain thoda hai
Dard zyada hai chain thoda hai
Is zamane mein paise walon ne
Pyaar cheena hai
Dil ko toda hai
Pyaar cheena hai
Dil ko toda hai
Paise ki ehmiyat
Ko inkaar nahi hai
Paisa hi magar sab
Kuch sarkaar nahi hai
Insaan hai insaan
Hai paisa paisa hai
Dil humara bhi tere jaisa hai
Hai bhala paisa to bura bhi hai
Yeh zeher bhi hai
Yeh nasha bhi hai
Yeh zeher bhi hai
Yeh nasha bhi hai
Yeh nasha koyi
Yeh nasha koyi dhoka
Zuroor kare hain
Yehi paisa to haan
Yehi paisa to apno se
Door kare hain
Door kare hain
Kahe paise pe itna
Guroor kare hain
Guroor kare hain
Arre chale kahan
Yeh paison se kya kya
Tum yahan khreedoge
Dil khreedoge ya
Ke jaan khreedoge
Bazaaron mein
Pyaar kahan bikta hai
Dukaanon pe yaar
Kahan bikta hai
Phool bik jaate hai
Khushboo bikti nahi
Jism bik jaate hain
Rooh bikti nahi
Chain bikta nahi
Khwaab bikte nahi
Dil ke armaan betaab bikte nahi
Arre paise se kya kya
Tum yahan khreedoge
Ya dil khreedoge
Ya ke jaan khreedoge
Yeh in hawaon
Ka mol kya doge
Un ghataon ka
Mol kya doge
Arre in zameenon
Ka mol ho shayad
Aasmanon ka mol kya doge
Yeh in hawaon
Ka mol kya doge
Un ghataon
Ka mol kya doge
In zameenon
Ka mol ho shayad
Aasmanon ka mol kya doge
Paas paisa hai to hai
Yeh duniya haseen
Duniya haseen
Ho zaroorat se zyada to
Iman-o-yaqeen
Iman-o-yaqeen
Yeh dimago mein
Yeh dimaago mein
Kasoor kare hain
Yehi paisa to
Yehi paisa to apno se
Door kare hain
Door kare hain
Kahe paise pe itna
Guroor kare hain
Guroor kare hain.