Kaash Kabhi Toh Lyrics – Shaan
Kaash kabhi toh unki khidaki
Ek baar khul jaati
Aur hawa se unke chehre ki
Naqaab hat jaati
Kaash kabhi toh unki khidaki
Ek baar khul jaati
Aur hawa se unke chehre ki
Naqaab hat jaati
Ho jaata deedar kaash
Anjaane rukhsaro ka
Waah taqdeere isharon ka
Un naino ke baago ka
Ho jaata deedar kaash
Anjaane rukhsaro ka
Waah taqdeere isharon ka
Un naino ke baago ka
Rukh par jo chhai baalo ki
Aaj ghata hat jaati
Chhupi hui gehraai
Palko ki thodi dhak jaati
Kaash kabhi toh…
Ek baar khul jaati
Aur hawa se unke chehere ki
Naqaab hat jaati
Itane din se jee na raha thaa
Ek baar jee jaata
Luta zindagi ki bisaat par
Maat na aisi khaata
Itane din se jee na raha thaa
Ek baar jee jaata
Luta zindagi ki bisaat par
Maat na aisi khaata
Teekhi nazar katili
Abhi uth jaati
Phir chahein aa jaaye kayamat
Yaa dharti phat jaaye
Kaash kabhi toh…
Kaash kabhi toh unki khidaki
Ek baar khul jaati
Aur hawa se unke chehere ki
Naqaab hat jaati
Haay unhone kabhi na dekha
Maine unhein na jaana
Jaane kab se chhupa salona
Roop raha anjaana
Haay unhone kabhi na dekha
Maine unhein na jaana
Jaane kab se chhupa salona
Roop raha anjaana
Agar tilishmi moorat ki
Soorat thodi dikh jaati
Kalam hamari ek kahani
Nayi nayi likh jaati
Kaash kabhi toh unki khidaki
Ek baar khul jaati
Aur hawa se unke chehere ki
Naqaab hat jaati.