Kaamil Lyrics – Munawar Faruqui
Yeah yeah yeah
Teri yaad dilaye
Tera chehra dikhaye
Aisi likh doon ghazal main koyi
Main soya ek chain ki neend se
Ab uthna nahi hai
Mera sapna badle na koyi
Tu ho sake toh aaye kabhi
Aye kabhi aaye abhi aaye
Meri aankhon mein tu thehre toh sahi
Toh din ban jaaye ho samandar
Mann mera uchhle magan
Jaise lehrein ho koyi
Teri hasrat jo maine ki
Ishq hua hai pehle bhi
Par din dugna behtar lage
Aisa hua pehle kabhi no
Sohbatt joh pehle thi
I like the way you picture me
Teri hansi zeenat teri
Tasveeron mein no filter please
Dua hai tu reh hifazat
Sang mere humesha hi
Hua hai beete relationship mein
Na khush dono hi
Meri khamoshi kehti
Kya tu bhi bole ishaaron mein
Khwahish kalandar ki leti
Panaah teri hi aankhon mein
Haan yaad dilaye tera chehra dikhaye
Mera sab kuchh lagta tu hi
Tu ho rahi bechain dilon mein
Meri nazam wahi hai
Mera qaafiya radeef bhi tu hi
Tu ho sake toh aaye
Bann hawayein chhoo ke jaaye
Hum yahan hai meri baahon mein
Tu thehre toh sahi
Yeh mushkile bhi kya hai
Muskuraye humnava hai mere saaye
Mere mann mein andhere na koyi koyi
Ishq kehte jise falsafe mein
Humein sab pata hai janam
Mera best day hai teri hasraton mein
Tujhe kya pata hai janam
Rabb thak gaya hai
Meri arziyan bhi sunke likhe yeh aamad
Tera attar bhi hai kuchh keh raha
Mujhe de raha ijazat
Na silah mangta duniya se
Jo kar loon mein tumko haasil
Humnava yahan hai kaafi
Par tu hi lagta hai kaabil
Main toh kar raha ibaadat
Tujhko rakhe hifazat
Tu shaamil hai mujhme aisi
Karti tu zindagi kaamil
Teri yaad dilaye
Tera chehra dikhaye
Aisi likh doon ghazal main koyi
Main soya ek chain ki neend se
Ab uthna nahi hai
Mera sapna badle na koyi
Tu ho sake toh aaye kabhi
Aye kabhi aaye abhi aaye
Meri aankhon mein tu thehre toh sahi
Toh din bann jaaye ho samandar
Mann mera uchhle magan
Jaise lehrein ho koyi
Tu karti zid hai
Main din deta hoon ginke
Yeh dooriyan bhi sin hai
Yeh imtihaan hai phir se
Bismil yeh pal hai
Tu hi mera safar hai
Tu kar yakeen mera
Teri khushi manzil hai
Haan yaad dilaye
Mera sab kuch lagta tu hi
Mera kafiya radeef bhi tu hi.