Kaam Kisi Ke Koi Lyrics – Asha Bhosle, Gautam Roy
Koi dube to koi bachaye na
Kaam kisi ke koi aye na
Koi dube to koi bachaye na
Kaam kisi ke koi aye na
Koi dube to koi bachaye na
Dubne walo ko bachate hain log
Bachane ko dub jate hain log
Kaam kisi ke koi aye na
Koi dube to koi bachaye na
Dubne walo ko bachate hai log
Bachane ko dub jate hai log
Zindagi mein kante hi kante bhare
Zindagi se koi na itna dare
Zindagi mein kante hi kante bhare
Zindagi se koi na itna dare
Zindagi ko kanta samajh na hain bhul
Zindagi hai phool are zindagi hai phool
Koi girte ko uthaye na
Raah bhule huye ko dikhaye na
Dubne walo ko bachate hai log
Bachane ko dub jate hai log
Nafrat hi karta hai sara jahan
Sara jahan tumne dekha kaha
Nafrat hi karta hai sara jahan
Sara jahan tumne dekha kaha
Nafrat mein jeevan nahin mere yaar
Zindagi hai pyar are zindagi hain pyar
Maare to koi chhudaye na
Dur se hi dekhe paas aaye na
Dubne walo ko bachate hai log
Bachane ko dub jate hai log
Duniya mein aansoo hi aansoo bhare
Koi dukho se na itna dare
Duniya mein aansoo hi aansoo bhare
Koi dukho se na itna dare
Rona ro hain kamjoro ka kaam
Jeevan to hasne hasane ka naam
Koi kisi ka kaam bataye na
Koi hume seene se lagaye na
Dubne walo ko bachate hain log
Bachane ko dub jate hain log
Ha kaam kisi ke koi aye na
Koi dube to koi bachaye na
Dubne walo ko bachate hain log
Bachane ko dub jate hain log.