Jhonka Hawa Ka Aaj Bhi Lyrics – Hariharan
Jhonka hawa ka aaj bhi,
Zulfein udaata hoga na,
Tera dupatta..aaj bhi tere,
Sir se sarakta hoga na,
Baalon mein tere aaj bhi,
Phool koi sajta hoga na,
Tera dupatta..aaj bhi tere,
Sir se sarakta hoga na,
Zulfein udaata hoga na,
Thandi hawaein raaton mein tujhko,
Thapkiyan deti hogi na,
Chaand ki thandak..khwabon mein tujhko,
Leke toh jaati hogi na,
Suraj ki kirne..subah ko teri,
Neendein udaati hogi na,
Mere khayalon mein sanam,
Khud se hi baatein karti hogi na,
Main dekhta hu,
Chhup chhup ke tumko,
Mehsoos karti hogi na,
Jhonka hawa ka aaj bhi,
Zulfein udaata hoga na,
Kaagaz pe meri tasveer jaisi,
Kuch toh banati hogi na,
Ulat palat ke dekh ke usko,
Jee bhar ke hasti hogi na,
Haste haste aankhein tumahri,
Bhar bhar aati hogi na,
Mujhko dhakata dhup mein jis-se,
Wo aanchal bhigoti hogi na,
Saavan ki rim jhim..mera taraana,
Yaad dilati hogi na,
Ik ik meri..baatein tumko,
Yaad toh aati hogi na,
Yaad toh aati hogi na,
Yaad toh aati hogi na,
Kya tum mere,
In sab sawalon ka,
Kuch to jawab dogi na,