Jeewan Se Lambe Hain Bandhu Lyrics – Manna Dey
जीवन से लम्बे हैं बंधू
यह जीवन के रस्ते
यह जीवन के रस्ते
इक पल थम के रोना होगा
इक पल चलना हंस के
यह जीवन के रस्ते
यह जीवन के रस्ते
जीवन से लम्बे हैं बंधू
राहों से रही का रिश्ता
कितने जनम पुराण
एक को चलते जाना आगे
एक को पीछे आना
मोड़ पे मत रुक जाना बंधू
दोराहो में फँस के
यह जीवन के रस्ते
यह जीवन के रस्ते
जीवन से लम्बे हैं बंधू
दिन और रात के हाथो
नपी नपी एक उमरिया
साँस की डोरी छोटी पड़
गयी लम्बी ास डगरिया
भोर के मंजिलवाले उठकर
भोर से पहले चलते
यह जीवन के रस्ते
यह जीवन के रस्ते
जीवन से लम्बे हैं बंधू.
Jeewan se lambe hain bandhu
Yeh jeewan ke raste
Yeh jeewan ke raste
Ik pal tham ke rona hoga
Ik pal chalana hans ke
Yeh jeewan ke raste
Yeh jeewan ke raste
Jeewan se lambe hain bandhu
Raho se rahi ka rishta
Kitne janam purana
Ek ko chalte jana aage
Ek ko pichhe aana
Mod pe mat ruk jana bandhu
Doraho me phans ke
Yeh jeewan ke raste
Yeh jeewan ke raste
Jeewan se lambe hain bandhu
Din aur raat ke hatho
Napi napi ek umariya
Sans ki dori chhoti pad
Gayi lambi aas dagariya
Bhor ke manzilwale uthkar
Bhor se pahale chalate
Yeh jeewan ke raste
Yeh jeewan ke raste
Jeewan se lambe hain bandhu.