Jeete Hain Chal Lyrics – Kavita Seth
Om tryambakam yajamahe
Sugandhim pusstti-vardhanam
Urvarukamiva bandhanan
Mrityor-mukssii yamaaamrtaat
Kehta yeh pal
Khud se nikal
Jeete hain chal
Jeete hain chal
Jeete hain chal
Gham musafir tha jaane de
Dhoop aangan mein aane de
Jeete hai chal
Jeete hai chal
Jeete hai chal
Talvon ke neeche hai thandi si ek dharti
Kehti hai aaja daudenge
Yaadon ke bakson mein zinda si khushboo hai
Kehti hai sab pichhe chhodenge
Ungliyon se kal ki ret behne de
Aaj aur abhi mein khud ko rehne de
Kehta yeh pal
Khud se nikal
Jeete hain chal
Jeete hain chal
Jeete hain chal
Ik dali zindagi rakh le
Jeete hain chal
Jeete hain chal
Jeete hain chal
Hichki ruk jaane de
Siski tham jaane de
Iss pal ki ye guzaarish hai
Marna kyun, jee lena
Boondon ko pee lena
Tere hi sapno ki baarish hai
Paaniyon ko raste tu banaane de
Roshni ke pichhe khud ko jaane de
Kehta yeh pal
Khud se nikal
Jeete hain chal
Jeete hain chal
Jeete hain chal
Om tryambakam yajamahe
Sugandhim pusstti-vardhanam
Urvarukamiva bandhanan
Mrtyor-mukssii yamaaamrtaat
Urvarukamiva bandhanan
Mrtyor-mukssii yamaaamrtaat
Kehta yeh pal
Khud se nikal
Jeete hain chal
Jeete hain chal
Jeete hain chal
Jeete hain chal.