Jeene Bhi De Duniya Hume Lyrics – Yasser Desai
Jeene bhi de duniya humme,
Ilzaam na laga,
Ek baar to karte hai sab,
Koi haseen khata..
Warna koi kaise bhala,
Chahe kisi ko bepanah,
Aye zindagi tuhi bata,
Kyun ishq hai gunaah…
Ilzaam na laga,
Ek baar to karte hai sab,
Koi haseen khata..
Khud se he karke guptgu,
Koi kaise jiye,
Ishq to lazmi sa hai,
Zindagi ke liye..
Khud se he karke guptgu,
Koi kaise jiye,
Ishq to lazmi sa hai,
Zindagi ke liye..
Dil kya kare dil ko agar,
Accha lage koi,
Jhootha sahi dil ko magar,
Saccha lage koi..
Jeene bhi de duniya humme,
Ilzaam na laga,
Ek baar to karte hai sab,
Koi haseen khata..
Warna koi kaise bhala,
Chahe kisi ko bepanah,
Aye zindagi tuhi bata,
Kyun ishq hai gunaah…
Dil ko bhi udne ke liye,
Aasmaa chahiye,
Khulti ho jinme khikiyaan,
Wo makaan chahiye..
Dil ko bhi udne ke liye,
Aasmaa chahiye,
Khulti ho jinme khikiyaan,
Wo makaan chahiye..
Darwaze se nikle zara,
Bahar ko rahguzar,
Har mod par jo sath ho,
Aisa ho humsafar..
Jeene bhi de duniya humme,
Ilzaam na laga,
Ek baar to karte hai sab,
Koi haseen khata..
Warna koi kaise bhala,
Chahe kisi ko bepanah,
Aye zindagi tuhi bata,
Kyun ishq hai gunaah…