Jee Lagta Nahin Mera Lyrics – Mohammed Rafi
Le jao mujhe yaro europe ki baharo me
Jee lagta nahin apna in desi najaro me
Le jao mujhe yaro europe ki baharo me
Jee lagta nahin apna
Jaha husn hai albela bekaid jawani hai
Har julf sunhari hai har shakal suhani hai
Jaha husn hai albela bekaid jawani hai
Har julf sunhari hai har shakal suhani hai
Is desh ki to yaro har chiz purani hai
Jee lagta nahin apna in desi najaro me
Le jao mujhe yaro europe ki baharo me
Jee lagta nahin apna
Dale huye baho me bahe waha ghumunga
Har phul se khelunga har kali ko chumunga
Dale huye baho me bahe waha ghumunga
Har phul se khelunga har kali ko chumunga
Har taal pe nachunga har nach pe jhumunga
Jee lagta nahin apna in desi najaro me
Le jao mujhe yaro europe ki baharo me
Jee lagta nahin apna
Badnam nahi hota waha pyar ka afsana
Aur band nahi hota pal bhar koi maykhana
Badnam nahi hota waha pyar ka afsana
Aur band nahi hota pal bhar koi maykhana
Gardish me jo aaye jaye rukta nahi paimana
Jee lagta nahin apna in desi najaro me
Le jao mujhe yaro europe ki baharo me
Jee lagta nahin apna.