Jawani Ke Heelay Haya Ke Lyrics – Jagjit Singh
Ye mana ke tum mujhse parda karogi
Jawani ke heelay haya ke bahane
Ye mana ke tum mujhse parda karogi
Ye duniya magar tujhsi bholi nahi hai
Chupake mohabbat ko ruswa karogi
Jawani ke heelay haya ke bahane
Ye mana ke tum mujhse parda karogi
Badi koshisho se, badi khwahisho se
Tamanna ke sehmi hui sajisho se
Badi koshisho se, badi khwahisho se
Tamanna ke sehmi hui sajisho se
Milega jo mauka to be-chain hokar
Milega jo mauka to be-chain hokar
Daricho se tum mujhko dekha karogi
Jawani ke heelay haya ke bahane
Ye mana ke tum mujhse parda karogi
Satayegi jab chaandni ki udasi
Dukhayegi dil jab fizaa ki khamoshi
Satayegi jab chaandni ki udasi
Dukhayegi dil jab fizaa ki khamoshi
Ufaq ki tarah khali nazare jamakar
Ufaq ki tarah khali nazare jamakar
Kabhi jo na socha wo socha karogi
Jawani ke heelay haya ke bahane
Ye mana ke tum mujhse parda karogi
Kabhi dil ki dhadkan mehsus hogi
Kabhi thandi saason ki tufan uthegi
Kabhi dil ki dhadkan mehsus hogi
Kabhi thandi saason ki tufan uthegi
Kabhi gir ke bishtar pe aahen bharogi
Kabhi gir ke bishtar pe aahen bharogi
Kabhi jhuk ke takiye pe roya karogi
Jawani ke heelay haya ke bahane
Ye mana ke tum mujhse parda karogi.