Jawani Jhulti Hai Lyrics – Lata Mangeshkar
Jawani jhulti hai, jawani jhulti hai
Aashiki jhula jhulati hai
Kadam phulo pe padta hai
Najar taro pe jati hai
Jami se aasma tak
Jami se aasma tak
Ab jawani aati jati hai
Kadam phulo pe padta hai
Najar taro pe jati hai
Chumte hai jhumte badal
Meri julfo ko jhuk kar
Chumte hai jhumte badal
Sabhi ranginiya badhkar
Pakadti hai mera aachal
Pakadti hai mera aachal
Dhun ko angdayi lekar
Dhun ko angdayi lekar
Apni baho me bulate hai
Kadam phulo pe padta hai
Najar taro pe jati hai
Jawani jhulti hai
Aashiki jhula jhulati hai
Meri aankho me paymane
Meri julfo me maykhane
Meri aankho me paymane
Meri julfo me maykhane
Baras jaye ye matlwali
Ghata kab dil pe kya jane
Aji kab dil pe kya jane
Hawa aahista aahista
Mera ghunght uthati hai
Kadam phulo pe padta hai
Najar taro pe jati hai
Jawani jhulti hai
Aashiki jhula jhulati hai
Anokhe saj sine mein
Nirale geet hotho par
Anokhe saj sine mein
Nirale geet hotho par
Najar kuch gungunati hai
Kabhi uth kar
Kabhi jhuk kar kabhi uth kar
Mohabbat dil ki gahrayi mein
Mohabbat dil ki gahrayi mein
Sajnayi bajati hai
Kadam phulo pe padta hai
Najar taro pe jati hai
Jawani jhulti hai
Aashiki jhula jhulati hai
Ye masti si fiza mein
Mere balo ka lahrana
Ye masti si fiza mein
Mere balo ka lahrana
Sambhalo apni baho mein
Sambhalo apni baho mein
Ke mujhko nind aati hai
Kadam phulo pe padta hai
Najar taro pe jati hai.