Javani Toh Javani Lyrics – Kaushik, Milind
Javani toh javani hai
Alag har kisi ki kahani hai
Kisi ko yeh chattan iraade hai
To kahi yeh maujo ki rawaani hai
Javani masumiyat ka najaam hai
Duniyadari ka aagaaz hai
Javani ek khuli kitaab ki tarha
Chhupaye huye kai raaz hai
Ek ghar hai aitbaar ka
Javani ek daman hai thehrav ka
Ek nasha hai raftaar ka
Javani ek khwahish ek aadast hai
Ek junoon hai ek shiddat hai
Javani ek bewafa mehboob hai
Ek jhoothi mohabbat hai
Javani ek pal hai zindagi ki taiyari ka
Ek ehsaas hai zimedari ka
Javani ek samndar hai dub jaane ko
Ek falak hai khumari ka
Javani ek gheri neend hai
Ek adhura khwab hai
Javani ek chhalakta amrit hai
Ek ubalta tezaab hai
Javani ek hajai hamsafar hai
Guzar jaane par kabhi
Mud ke aati nahi
Javani ek haseen geet hai
Zindagi phir se jo dohraati nahi
Yeh duaa hai mustaaf ki
Aye jawa dosto
Kuchh is tarha jeevan ke
Dhaage tum bun sako
Jab saam e zindagi dhal ne lage
To faqr ke kuchh lamhe
In dino mein se chun sako.