Jao Jao Dharti Pe Jao Lyrics

in

"Jao Jao Dharti Pe Jao" Song Details:

Movie: Aaj Ke Angaarey (1988)
Singer(s):Uttara Kelkar, Vijay Benedict
Lyricist(s):Anjaan
Composer(s):Bappi Lahiri
Music Director(s):Bappi Lahiri
Genre(s):Kids
Director(s):Babbar Subhash
Music Label:© T-Series
Starring:Hemant Birje, Raja Duggal, Rohini Hattangadi, Kalpana Kalantri, Ahmed Khan, Nagina Khan, Shashi Kiran, Jaya Mathur, Raza Murad, Neeta Puri, K.K. Raj, Vinod Raut, Om Shivpuri, Archana Puran Singh, Babbar Subhash, Pooja Thakur, Ajit Vachani, Sarla Yeolekar

Jao Jao Dharti Pe Jao Lyrics – Uttara Kelkar, Vijay Benedict

lyricsbogie.com
Ek bar aasman ke par ki pari ne
Dharti pe kuch bacho ko
Buri halat mein dekha
Use behad dukh huya,
Swarag ke ek dut ko bulakar
Usne aadesh diya
Jao jao dharti pe jao,
Jakar pata lago
Dharti ke kitne hi bache
Kyu itne dukh sah rahe hai
Jao jao dharti pe jao, jakar pata lago
Dharti ke kitne hi bache
Kyu itne dukh sah rahe hai
Sadiyo se kyu rat din
Ye is hal mein rah rahe hai
Jao jao dharti pe jao, jakar pata lago
Dharti ke kitne hi bache
Kyu itne dukh sah rahe hai
Pata lago, jao pata lago

Swarag ki devi, bacho ko
Pyar karne wali pari
Dharti pe utari, uske samne
Pakadkar layi gayi ek
Teacher pari ne puchha,
Itne bhole, itne pyare
Ye masum se bache sare,
Sahme sahme, dare dare
Phirte kyu hai mare mare,
Kyu majbur hai
Kyu lachar hai, kiske
Julm ke ye shikar hai
Tum uske jimedar ho,
Apradhi guneghar ho
Tumhe iski milni chahiye,
Sajaye mot

Dharti ye sari kabhi ek thi,
Ye sara jaha ek parivar tha
Sabhi ek the, sabhi nek the,
Dilo mein yaha pyar hi pyar tha
Huye pada phir aise bande yaha
Jo matlab ki khatir the andhe yaha
Bane mulk phir itani kome bani,
Chidi jang badati gayi dushmani

Kyu milke in sabko nahi toka, nahi roka
Aasma se ek the jo kyu zami ko kata bata
Main to hoon teacher talim du main,
Neta nahi koi raja nahi mai
Julmko roku, jalim ko toku,
Mujhme bhala itni takat kaha
Kya kaha tum teacher ho,
Lekin maine to kisi poliction ko
Pakad kar lane ko kaha tha,
Maine socha ye teacher hai,
Jo bolegi sach bolegi
Neta to aakhir neta hai,
Ab kya bole kisko pata
Kisko pata wo kab kya bole,
Kyoki poliction  to poliction hai na

Teacher tum achhi ho,
Tum sachi ho, tum achhe kam karo
Bacho ko padao, unhe sikhalao,
Pyar karna, pyar karna
Ye bache hai kal ke neta,
Jab ho bade ye pyar se
Duniya sajaye, sabko sikhaye,
Pyar karna, pyar karna
Thanku superpat aap hai to
Phir humko kya dar yahi
Karege hum sab milkar,
Thanku superpat, thanku,
Bye bye, bye bye

Bache dil ke sache hai,
Sachayi an chhodege
Hum duniya mein layege
Dor pyar ka, nafarat ki ye
Zanjeer e hum sab milkar todege,
Phir dharti pe chhayrga rang pyar ka
Phir koi julm sitam
Nahi hoga, hoge gham nahi
Dilo mein pyar wo jagega,
Jo hoga kam nahi
Duniya nayi basayege,
Pyar ke phool khilayege
Phir dharti ho jayegi jannat se hansi.

Jao Jao Dharti Pe Jao Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.