Jaise Ankhon Se Ansu Lyrics

in

"Jaise Ankhon Se Ansu" Song Details:

Movie: Harishchandra Taramati (1970)
Singer(s):Mohammed Rafi
Lyricist(s):Virendra Mishra
Composer(s):Hridaynath Mangeshkar
Music Director(s):Hridaynath Mangeshkar
Genre(s):Sad
Director(s):B K Adarsh
Music Label:© Saregama
Starring:Pradeep Kumar, Madhumati

Jaise Ankhon Se Ansu Lyrics – Mohammed Rafi

Ek samay tha jab ki devta
Sare tumse darte the
Bijli pahra deti thi
Aur badal pani bharte the
Aur aaj
Jaise aankhon se aasu
Jaise aankhon se aasu
Aise nikle ho tum
Khushiyo ka chaman luta kar
Kis aur chale ho tum
Jaise aankhon se aasu

Mehlo ki dahli jhuthi
Phulo ki veni tuti
Raja se rank bane ho
Phir bhi sabke apne ho
Rote sare purwasi
Roti hai ek ek dasi
Utre sabke chehre hai
Sabke hi nain bhare hai
Koi bhi kya badlega
Jitne badle ho tum
Khusiyo ka chaman luta kar
Kis aur chale ho tum
Jaise aankhon se aasu

Tum satya veer tum dani
He dhany huyi kurbani
Gam ki gathri kandhe par
Aur dharm ki lathi lekar
Tum dhukh mein hasna sikhe
Kya kehne is masti ke
Jinko aage badhna hai
Har sankat se ladna hai
Andhiyara dhul jayega
Jitne ujle ho tum
Khusiyo ka chaman luta kar
Kis aur chale ho tum
Bahte aanhko se aasu

lyricsbogie.com
Faste ho kabhi daldal mein
Ya phir nadiya ke jal mein
Chubhte kate paavo mein
Uljhe ho kin bhavo mein
Tum nange pairo wale
Pad gaye hai kitne chhale
Pad gaye hai kitne chhale
Auro ka dukh apne par
Khud odh chale ho tum
Khushiyo ka chaman luta kar
Kis aur chale ho tum
Jaise aankhon se aasu

Suna pan mar ghat jaisa
Har pal koi andesha
Suraj ko to dhalna hai
Lekin tumko chalna hai
Sagar awaz lagaye
Khud lehre tumhe bulaye
Khud lehre tumhe bulaye
Tuta man gir jata hai
Gir kar sambhle ho tum
Khushiyo ka chaman luta kar
Kis aur chale ho tum
Jaise aankhon se aasu.

Jaise Ankhon Se Ansu Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.