Jab Se Bulbul Tune Do Tinke Liya Lyrics – Ustad Ghulam Ali
Jab se bulbul tune do tinke liya
Tootati hain bijliyaan in ke liye
Jab se bulbul tune do tinke liya
Kaun weeraane mein dekhega bahaar
Kaun weeraane mein dekhega bahaar
Kaun weeraane mein dekhega bahaar
Phool jungle mein khile kin ke liye
Jab se bulbul tune do tinke liya
Saari duniya ke hain woh mere siwa
Saari duniya ke hain woh mere siwa
Saari duniya ke hain woh mere siwa
Main ne duniya chhod di inke liye
Jab se bulbul tune do tinke liya
Wasl ka din aur itna mukhtasir
Wasl ka din aur itna mukhtasir
Wasl ka din aur itna mukhtasir
Din gine jaate hain is din ke liye
Jab se bulbul tune do tinke liya
Baaghbaan kaliyaan ho halke rang ki
Baaghbaan kaliyaan ho halke rang ki
Baaghbaan kaliyaan ho halke rang ki
Bhejnee hain ek kamsin ke liye
Jab se bulbul tune do tinke liya
Tootati hain bijliyaan in ke liye
Jab se bulbul tune do tinke liya.