Jab Raat Hai Aisi Matwaali Lyrics

in

"Jab Raat Hai Aisi Matwaali" Song Details:

Movie: Mughal-E-Azam
Singer(s):Lata Mangeshkar
Lyricist(s):Shakeel Badayuni
Composer(s):Naushad Ali
Music Director(s):Naushad Ali
Genre(s):Playful
Director(s):K. Asif
Music Label:© Saregama
Starring:Prithviraj Kapoor, Dilip Kumar, Madhubala, Durga Khote
Release on:5th August, 1960

Jab Raat Hai Aisi Matwaali Lyrics – Lata Mangeshkar

lyricsbogie.com
Ye dil ki lagi kam kya hogi
Ye ishq bhala kam kya hoga
Jab raat hai aisi matwaali
Jab raat hai aisi matwaali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga

Naghmon se barasti hai masti
Chhalke hain khushi ke paimaane
Chhalke hain khushi ke paimaane
Aaj aisi bahare aayi hain
Kal din me banenge afsaane
Kal din me banenge afsaane
Ab isse zyada aur haseen
Ye pyaar ka mausam kya hoga
Ab isse zyada aur haseen
Ye pyaar ka mausam kya hoga
Jab raat hai aisi matwaali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga

Ye aaj ka rang aur ye mehfil
Dil bhi hai yaha dildaar bhi hai
Dil bhi hai yaha dildaar bhi hai
Aankhon me qayaamat ke jalwe
Seene me tadapta pyaar bhi hai
Seene me tadapta pyaar bhi hai
Is rang me koi jee le agar
Marne ka usse gham kya hoga
Is rang me koi jee le agar
Marne ka usse gham kya hoga
Jab raat hai aisi matwaali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga

Haalat hai ajab deewano ki
Ab khair nahin parwaano ki
Ab khair nahin parwaano ki
Anjaame muhabbat kya kahiye
Lay badhne lagi armaano ki
Lay badhne lagi armaano ki
Aise me jo paayal toot gayi
Phir ai mere hamdam kya hoga
Aise me jo paayal toot gayi
Phir ai mere hamdam kya hoga
Jab raat hai aisi matwaali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga.

Jab Raat Hai Aisi Matwaali Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *